Saturday, December 7, 2013

Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain


Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
Main to mar kar meri jaan tujhe chahunga

Tu mila hai to ye ehsaas hua hai mujhko
Ye meri umr muhobbat ke liye thodi hai

Tu mila hai to ye ehsaas hua hai mujhko
Ye meri umr muhobbat ke liye thodi hai

Ik zara sa gume doura ka bhi huk hai jis par
Meine wo saans tere liye rakh chodi hai

Tujhpe ho jaun kurbaan tujhe chahunga
Mein to mar meri jaan tujhe chahunga

Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hai
Apne jazbaat mein nagmaat rachane ke liye

Meine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
Mein tasabbur bhi judaayi ka bhalaa kaise kahun

Meine kismat ki lakiron se churaya hai tujhe
Pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahunga

Mein to mar meri jaan tujhe chahunga
Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain.

No comments:

Post a Comment