Sunday, December 8, 2013

Wo ishq jo hum say rooth gaya ab us ka haal sunaein kia

Wo ishq jo hum say rooth gaya ab us ka haal sunaein kia 
Koi mehar nahi koi qehar nahi phir sachcha shair sunaein kia 

Aik hijr jo humko lahaq hai tadair usay duhraein kia 
Wo zehar jo dil mein utar gaya phir us ke naaz uthain kia 

Phir aankhain lahoo say khali hain yeh shumain bujhnay wali hai 
Hum khud bhi kisee kay sawali hain is baat pay ab sharmaein kia 

Ek aag gham-e-tanhai ki jo saray badan mein phail gai 
Jub jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaien kia 

Hum naghma sara kuch ghazloon kay hum soorat gar kuch khuwaboon kay 
Be jazba-e-shoq sunaein kia jub khuwab na ho tu bataein kia.

No comments:

Post a Comment