Kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay
ya-rub kise ki raaz e muhabbat ki khair ho
dast e junoon rahay na rahay aasteen rahay
dard-e-gham-e-firaq ke yeh sakht marhalay
hairaan hoon mein ke phir bhi tum itne haseen rahay
ja aur koi zabt ki dunya talaash ker
ay ishq hum to ub tere qabil nahi rahay
Allah re chashm-e-yaar ke maujiz bayanian
her ik ko hai gumaan ke mukhatib humhe rahay
is ishq ki talafi e mafaat dekhna
ronay ki hasratein hein jab aansu nahi rahay
kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay
kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
pehlo nasheen rahay pehlo nasheen rahay.
No comments:
Post a Comment