Saturday, December 7, 2013

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar thori door saath chalo

tamaam umr kahan saath deta hai
ye jaanta hoon magar thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain bhi hosh nhi
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye aik shab ki mulaqaat bhi ghanimat hai
kise hai kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag raahon k
abhi hai door sehar thori door saath chalo

tawaaf-e-manzil-e-janaan hamain bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori door saath chalo.

No comments:

Post a Comment