Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon
Tujh Se Agay Ka Safar Dekh K Dar Jata Hoon
Roz Dhalte Huye Sooraj Ki Tarha Shaam Gaye
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hoon
Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi
Main Bhi Raton Ko Zaraa Dair Se Ghar Jata Hoon
Main Ne Bhi Jurm-e-Baghawat K Sitam Jhailey Hain
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hoon
Chal Para Hoon Main Zamane K Asoolon Pe
Main Bhi Ab Apni Baton Se Mukar Jata Hoon.
No comments:
Post a Comment