Thursday, December 5, 2013

Mujhe tum nazar se gira tu rahe ho

Mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
mujhe tum kabhi bhi bhula na sako ge

mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
mujhe tum kabhi bhi bhula na sako ge

najaane kyun mujhe yaqeen ho chala hai
mere pyar ko tum mita na sako ge

meri yaad hogi jidhar jaoge tum
kabhi naghma bun keh kabhi bun keh aansoo

kabhi naghma bun keh kabhi bun keh aansoo
tarapta mujhe hartaraf paoge tum

shama jo jalai hai meri wafa ne
bujhana bhi chaho bujha na sako ge

kabhi naam baaton mein aaya jo mera
tu bechain ho ho keh dil thaam loge

nigaaho mein chaaye ga ghum ka undhaira
kisi ne jo poocha sabab aansooon ka

batana bhi chaho batana sako ge
mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
mujhe tum kabhi bhi bhula na sako ge.

No comments:

Post a Comment