Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa
jaise betaab dil ko qaraar aa gayaa
aarzoon ke gul muskuraane lagay
jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa
tashna nazrein milin shoKh nazaron se jab
mai barasane lagi jaam bharane lagaa
saaqiyaa aaj teri zaroorat nahin
bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa
raat soney lagi subah honey lagi
shammaa bujhane lagi dil machalane lage
waqt ki raushani mein nahaai huyi
zindagi pe ajab saa nikhaar aa gayaa
har taraf mastiyaan har taraf dil kashi
muskuraate dilon mein Khushi hi Khushi
kitna chaahaa magar phir bhi uth na sakaa
teri mahafil mein jo ek baar aa gayaa.
No comments:
Post a Comment