Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue
Khuda jane kya ye 'mujazza' hai ki mehkta hai ghar mera
arsa hua hai unko iss dayaar-e-muntzir main aye hue
Hain ye jo apno sa chehra liye jane kaun hain
Gale milte bhi hain to hath se dil chupaye hue
Ab ehsaas bhi aitbaar ka nazar-e-tuffan ho gaya
Nakhuda ko bhi baithe hain hum bakhuda azmaye hue
Kuch iss tarah teri duniya se beaabru hoker hum chale
Jaise zohad wale baithe hain duniya tujhse churaye hue
Khudaya shukr ke usne keh jo diya palat ker
Verna phirte teri buzm main apna moo chupaye hue
Hawao se jab kabhi muqabil ye patang nazer ayi
Badala rukh hawao ne aur chali sar uthye hue
Bhatakti hui ek massom saba roti rahi mere shano pe
Kehti thi kyon ho iss shaher main gaon apna lutye hue
Kya dhondhta hai jane wo masiha ab wo dharkanain kahan
Khan-e-dil ko baithi hai wafayen yadon ka mazaar banye hue
Wahi palke wahi khushbu wahi chehra to hai shakeel
Zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue.

No comments:
Post a Comment