Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de
Wo tiiragii hai ke ab Khawaab tak dhikhaaii na de
Bohat sataate hain rishte jo toot jaate hain
Khudaa kisii ko bhii taufiiq-e-aashanaaii na de
Main saarii umr andheron main kaat saktaa huun
Mere diiyon ko magar roshnii paraaii na de
Agar yahii terii duniiyaa kaa haal hai Maalik
To merii qaid bhalii hai mujhe rihaaii na de
Duaa ye maangii hai sehame huay mu'arrik ne
Ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnaaii na de.
Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal,
Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,
No comments:
Post a Comment