Thursday, May 1, 2014

Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay, Qateel Shifai,


Kahun Kya Fasana-e-Gham Isay koun Manta Hay
Jo Guzar Rahi Hay Mujh Par Mera Dil Hi Janta Hay

To Saba Ka Hay Woh Jhonka Jo Guxar Gaya Chaman Say
Nah Woh Ronkain Hain Bakq Nah Kahein Sahanta Hay

Usay main Naseeb Janoun kah Bashar ki Khud Faraibi
Koi Bhar Rahay Daaman koi Khaak Chaanta Hay

Tera Youn Khyaal Aaya Mujhay Gham Ki Dopehar Main
Koi Jaisay Apna Aanchal Mere Sar Pah Taanta Hay

Main Nizam-e-Zar Ki Daiwi Say Qateel Aashna Houn
Kahein Naam Iska Bano, Kahein Chandar Kaanta Hay.

No comments:

Post a Comment