Saturday, May 31, 2014

Musafir ke raste badalte rahe, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Musafir ke raste badalte rahe
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe
koi phool sa haath kaandhe par tha
Mere paoon sholo par chalte rahe
Mere raaste mein ujala raha
Diye uski aankhon ke jalte rahe
Woh kya tha jise humne thukra diya
Magar umar bhar haath malte rahe
Mohabbat,adaawat,wafa,berukhi
kiraye k ghar the badalte rahe
Suna hai unhe bhi hawa lag gayi
Hawaoon ke jo rukh badalte rahe
Lipat ke chirago se woh so gaye
Jo phoolon par karvat badalte rahe.

Friday, May 30, 2014

Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Mujhse milne ke wo karti thi bahaane kitne
Ab guzarege mere saath zamaane kitne
Main gira tha to bahut log ruke the lekin
Sochta hu mujhe aaye the uthaane kitne
Jis tarah maine tujhe apna bana rakha hai
Sochte honge yahi baat na jaane kitne
Tum naya zaKhm lagao tumhe isse kya hai
Bharane waale hai abhi zaKhm purane kitne.

Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal,


Mohabbat karke yeh dhoka bhi mujhe khana tha
Karke Wafa bhi bewafayi ka ilzam mujhe utthana tha
Hamesha raha main jiske Pyaar ki panahon mein
Aaj uski baahon mein kisi aur ka thikana tha
Zara si baat par hui thi woh khafa mujhse
Kyunki aaj usne mere Pyar ko aazmana tha
Jab kuch na kaha usne to chup raha main bhi
Mujhe bhi thi bahut jaldi usse bhi Ghar ko jaana tha
Mohabbat ka haseen Rishta itne araam se toota
Hui ghalti mujhse Dil mein kisi ko nahi basana tha.

Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Poetry,


Meri dastan hasrat wo suna suna kar roye
Mere azmane wale mujhe azma kar roye
Koi aisa ahal-e-dil ho k fasana mohabbat
Main usse suna kar roun wo mujhe suna kar roye
Mere pass se guzar gaya mera haal taak na poocha
Main yeh kaise maan jaun ke wo door jaa kar roye
Teri bewafaiyon par teri kujarayion par
Kabhi sir jhuka kar kabhi muh chhupakar roye
Meri aarzoo ki duniya dil-e-natawan ki hasrat
Jise kho kar shadman the usse aaj paakar roye
Jo sunayi anjuman mein shabe-e-gum ki aap beeti
Kai ro kar muskuraye kayi muskura kar roye.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Meri barbadi ki daastan sunane se pehle
Mujhe itna bata jaate chhod jaane se pehle
Agar koi shikwa tumne mujhse kiya hota
Main tumko mana leta rooth jaane se pehle
Tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain
Warna bahut the humko chahne wale tumse pehle
Kya maloom tha itna tarpayegi judai teri
Dekho tum laut aana yeh jaan jaane se pehle.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal,


Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan Meri Khamoshi Ko Saja Na De
Jo Tere Baghair Na Jee Sake Use Jeene Ki To Dua Na De
Tu Azeez Dil-o-nazar Se Hai Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla Kaheen Waqt Aur Badha Na De
Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar Meri Chahaton Ka Sila Na De
Wo Tarap Jo Shola-e-jaan Mein Thi Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha Ise Na Bujha Sake To Hawaa Na De
Tujhe aGar Mile Kabhi Fursatain Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
AGar Qatal Karna Hai To Qatal Kar Yoon Judaiyo Ki Sazaa Na De.

Wednesday, May 28, 2014

Heart Touching Poetry, Heart Touching Love Poetry, Heart Touching Ghazal,


Mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai
Wo isi shehar ki galiyo mein kahi rehta hai
Jiski saanso se mehakte the daar-o-baam tere
Aey makaan bole kaha ab woh makeen rehta hai
Ek zamana tha k sub ek jagah rehte the
Aur ab koi kahi aur koi kahi rehta hai
Roz milne par bhi lagta tha k jug beet gaye
Ishq mein waqt ka ehsaas nahi rehta hai
Dil farsooda to hua dekh k usko lekin
Umer bhar koun jawan koun haseen rehta hai.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Muddat se mera dil hai ke abaad nahi hai
Honthon par magar aaj bhi fariyaad nahi hai
Aata hai khayaalon mein mere ek hi chahra
Bas iske siwa kuch bhi mujhe yaad nahi hai
Phirte hai sabhi log yaha sehme hue se
Is shahar mein jaise koi azad nahi hai
Dekha hai ujadte hue kitne hi gharo ko
Hai koun jo is ishk mein barbaad nahi hai
Udne ko parinde sabhi par tol rahe hai
Lagta hai chaman mein koi sayad nahi hai
Dil jiski judai mein dhadkta hai saari shaam
Wo aam sa chahra hai pari zaad nahi hai
Ek lehar si uthti hai aaj bhi dil mein
Is lehar ke uthne ka sabab yaad nahi hai.

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai
Mere hisse mein koi jaam na aaye na sahi
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhe naam tera lete hai
Is pe main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai
Woh sitamgar hi sahi dekh ke usko lekin
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
Tu kahi bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
Tere haathon ki lakiro mein mera naam to hai.

Urdu Best Poetry,


Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine
Teri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine
Jispe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi
Apne maathe ki woh lakeer mita li maine
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu
Teri yaadon se har ek saans saja li maine
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha
Bas wohi ek ghazal sabse chhupa li maine.

Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Na Tumhe Hosh Rahe Or Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot Ke Chaho, Mujhe Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehendi Se Rango
Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do
Ishq ke Saaye Mein Mere Khawaab Dhak Uthenge
Mere Chehre Pe Chamakta Huwa Aanchal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Main Hon Toot Ke Barso Mujh Par
Is Qadar Barso,Meri Rooh Mein Jal Thal Kar Do
Jaise Shehero Mein Har Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Mein Chalo Or Mujhe Thal Kar Do
Tum Chupa Lo Mera Dil, Oat Mein Apne Dil Ki
Or Mujhe Meri Nigaaho Se Bhi Aujhal Kar Do
Masala Hoon To Nigahein Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se, Tawajja Se Mujhe Hal Kar Do
Apne Gham Se Kaho Har Waqt Mera Sath Rahe
Ek Ehsaan Karo UsKo Musalsal Kar Do.

Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Urdu Best Poetry,


Pal bhar mein tamam umar ki soche badal jaati hai
Jin raho par chalte hai wohi, rahe badal jaati hai
Karne ko kiya nahi karte log mohabbat mein
Sirf hamare liye hi kyun? rasme badal jaati hai
Woh aisa hai k uska naam sunne k tasawwur se hi
Hamari tamaam tar sAatein badal jaati hai
Sochta hoon jaane kaise? keh paoonga main usse
Milta hoon to dil ki saari baatein badal jaati hai
Chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Door" bhi
Humsafar us jaisa ho to musaftein badal jaati hai
Yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
Magar"chand"dekhoon to meri raatein badal jaati hai
Mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
Yeh na ho log kahe, jald hi adatein badal jaati hai.

Pyar karta hoon main tumse, Urdu Poetry,


Pyar karta hoon main tumse
Izhar karna itna asaan to nahi
Sumajhta hu mushkil ko par
Sumjhana itna asaan to nahi
Dil mein to bahut kuch hai par
Labon pe lana itna asaan to nahi
Khud wo sub dukh jante hue
Dosron ka dil dukhana itna asaan to nahi
Apno ke zakhm dil mein chupa ke
Dil ka dhadkte rehna itna asaan to nahi
Umeedein to bahut hai shayad par
In umeedon ka poora hona itna asaan to nahi.

Urdu Ghazal, Heart Touching Ghazal, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,

Suno!!!
Mujhe har pal tumhari yad aati hai
Kabhe sanson k chalne pe
Kabhe dil k machalne pe
Kabhe ankhen chalakne pe
Kabhe chand nikalne pe
Kabhe shab k andheron main
Kabhe din k saweron main
Kabhe logo k meley main
Kabhe tanha akele main
Tumhari bus
Tumhari yad ati hai
Mujhe har pal tumhari yaad aati hai JANA.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Love Poetry, Heart Touching Poetry,


Teri aankhon ki namkeen mastiyan,
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main 
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.

Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Sukoon Milta Hy Jab Un Sy Baat Hoti Hy
Hazaar Raaton Me Wo Ek Raat Hoti Hy
Nigah Utha K Wo Dekhen Kbhi Jo Meri Taraf
Wo Hi ek Nigah Meri Kainaat Hoti Hy.

Romantic Poetry,


Phoolo Se Achhi Tumhari Khushboo
Kaliyo Se Pyari Tumhari Muskaan
Sitaaro Sa Chamakta Hua Chehra
Koyal Si Meethi Tumhari Zabaan
Chaand Bhi Chhup Jaye Yeh Keh Ke
Aaasmaan Pe Ab Kya Mera Kaam
Chandni Tu Aa Nikli Zameen Se
Kaisi Hai Yeh Qudrat Ki Shaan
Fursat Se Banaya HoGa Rab Ne
Farishto Ka Nahi Yeh Kaam
Mitti Se Bane Hai Hum Sab
Us Mein Sone Ko Milaaya Hoga
Hooron ne Bhi Hasrat Se Dekha Hoga
Pariyo Se Sundar Yeh Insaan
Wah re Qudrat teri shan
Wah re Qudrat teri shan.

Urdu Poetry


Raat Bhar Mere Pehloo Mein Basera KarKe
Wo Ja Rahe Hai Ab Sawera KarKe
MujhSe Rooth Jaye Wo To Kuch Aisa Lage
Chal Diya Ho Ghar mein Koi Andhera Karke
Roz Nikhaarta Hoon Mein Rooh Ko Apni
Tere Pyaar Ki Dhoop Se Sunehra KarKe
Roz Satate Hai Aur Manate Hai Tujhe
Saamne Apni Aankhon Ke Tera Chehra KarKe
Ajeeb Shakhs Hai Khushiyo Ka Jahan Dhoondta Hai
Apni Har Ek Khushi Ko Mera KarKe.

Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Teri Chah mein had se guzar jaoonga Ek Din
Pyar hota hai kya ye dikhlaoonga Ek Din
Teri Sangdili ko sehte sehte
Main apni Jaan se guzar jaoonga Ek Din
Apni chahte saari Tujhpar Waar ke
Pyar karna Tujhe bhi sikhaoonga Ek Din
Jee na payegi Tu bhi hoke Juda Mujhse
Aisa Pyar Tujhse kar jaoonga Ek Din
Andhero mein dhoondti reh jayegi Mujhko
Aisi Be-Rukhi dikhlaoonga Ek Din
Kho kar Mujhko bahut pachtayegi Sanam Tu
Wafa aisi Tujhse kar jaoonga Ek Din
Aisi Deewangi se Chahoonga Tujhko,
Bhool jaogi Tum bhi saara Jahan Ek Din
Jaan Teri bhi Labon par aajayegi
Ban ke Khaak jab main Mitti mein mil jaoonga Ek Din.

Tuesday, May 27, 2014

Kash Kay teri Yad Pe...

Kash Kay teri Yad Pe______Sawaab Milta Hum Ko,
To Aj Hum Bhi Khulay aam JANNAT ka daawa karte.!

Aqwal e Zareen...

Urdu Best Quotes

Kya Tamasha Ho Kay...


Kya Tamasha Ho Kay !!! Khamosh Khari Ho Duniya, 
Main chalun hashar main kehtay hue janaan Janaan.!

Naaraaz Tum Naaraaz Hum...

Naaraaz Tum Naaraaz Hum Kese Mitaayein Yeh Dooriyaan,
Hum Muntazir Tum Bay Khabar Dono Ki Hain Majbooriyan.!

Ashfaq Ahmad Urdu Quotes

Ashfaq Ahmad Urdu Quotes

Samajh Kr Raham Dil Tum Ko

Samajh Kr Raham Dil Tum Ko Diya Tha Hum Ne Dil Apna,
Magar Tum To Bala Niklay, Ghazab Niklay, Sitam Niklay.!


Sunday, May 25, 2014

Urdu Poetry

 Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry, 
 Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry, 
 Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry, 
Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry, 

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Love Poetry, Heart Touching Poetry,


Palkon pe aansoo ko sajaya na jaa saka
Usko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
Ek zakham bhi usko dikhaya na jaa saka
Jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood
Aankhon mein aansoon ko chupaya na jaa saka
Kuch log zindagi mein aise bhi aaye hai
Jinko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
Bas is khayaal se kahi usko dukh na ho
Humse to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka
Woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar
Chehre ka rang usse chupaya na jaa saka
Tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye
Magar faasla DILO ka mitaya na jaa saka.

Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Love Poetry, Sadest Urdu Poetry,


Pathar Bana Diya Mujhe Rone Nahi Diya
Damaan Bhi Tere Gam Ne Bighone Nahi Diya
Tanhaiya Tumhara Pata Poochti Rahi
Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Diya
Aankhon Mein Aakar Beth Gayi Aansuo Ki Lehar
Palkon Pe Koi Khawaab ne rone Nahi Diya
Dil Ko Tumhare Naam Ke Aansoo Aziz The
Duniya Ka Dard Dil Mein Samane Nahi Diya
Yu Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya.

Friday, May 23, 2014

Heart Touching Poetry,


Dharti se aasman ko jo naap raha hai
Ho kar khada zameen pe, khud kanp raha hai
Aghosh mein lipta hai naye, saal ka manzar
Honthon pe tabasum hai, jigar kanp raha hai
Ha waqt-e-sehar khawaab yeh, dekha maine
Ek zinda basher apna kafan naap raha hai
Har aankh zamane ki nazar ho gayi logo
Palko ka shamiyana kisse dhaap raha hai
Khanjar bakaf hai mera, masiha mere andar
Kyon zakhm zakhm jism mera, kanp raha hai
Umeed ki kirne kaheen, maadoom hoyi hai
Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq,hanp raha hai.

Urdu Poetry,


Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
Zindgi kya hai kitaabo ko hata kar dekho
Woh sitara hai chamakne do yoon hi aankhoon mein
Kya zaroori hai isse jism bana kar dekho
Pathro mein bhi zuban hoti hai dil hote hai
Apne gharo ki daro diwaar saja kar dekho
Fasla nazro ka dhoka bhi to ho sakta hai
Woh mile ya na mile haath badha kar dekho.

Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Love Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry,


Is zindagi mein husn ko nikhaar chahiye
Ujde hai jo gulshan unhe bahaar chahiye
Deewano ko yeh chahiye had se badhe na woh
Aur aashqo ko dil pe ikhtiyaar chahiye
Unko nahi tasalli ye dil yaar ki taraf
Iqraar ho gaya hai to izhaar chahiye
Sunkar awaaz yaar ki kehte hai machal kar
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiye
Mohabbat ke liye laazim hai kuch ashyaai khaas bhi
Dil-o-jaan chahiye imaan-o-aitbaar chahiye
Yeh sab to humne paaya magar ek aur khawahish hai
Jo bewafa na ho humhe woh yaar chahiye.

Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry,


Jiska koi haasil nahi aisa ek khawaab dekha tha
Raat haatho mein apne ek mahtab dekha tha
Shab bhar khushi se jaagi rahi hai aankhain
Aaj pehli baar apne liye use betaab dekha tha
Ab ke bahar mein bhi woh zard sa dikhayi diya
Khiza'n rut mein bhi jis chehre ko gulab dekha tha
Jo sab kuch hi bahakar saath le gaya hai mera
Dil ke dariya mein aisa ek sailaab dekha tha
Aaj yoohi chhoti si maat pe roya hai der talak
Ye dil jise baare baare dukhoon par shadab dekha tha
Duniya pooche tere dil ke busti kya huwi Ghazal
Kaha!nahi maloom,ek baar use zair-e-aab dekha tha.

Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi.

Tuesday, May 20, 2014

Saath chalne mein jo maza hota, Best Heart touching Poetry, he, Heart Touching Ghazal, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Saath chalne mein jo maza hota
Woh hume bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi badh ke koi
Haath humko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein agar
Saath apne koi chala hota.

Qateel Shifai, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aise To Halaat Nahi
Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Baat Nahi
KisKo Khabar Thi Sanwle Badal Bin Berse Ud Jaate Hai
Sawan Aaya Lekin Apni Qismat Mein Barsaat Nahi
Toot Gaya Jab Dil To Phir Ye Saans Ka Naghma Kya Maane
Goonj Rahi Hai Kyon Shehnayi Jab Koi Baraat Nahi
Ghum Ke Andhere Mein TujhKo Apna Saathi Kyon Samjhoon
Tu phir Hai Mera Tu Saya Bhi Mere Saath Nahi
Maana Jeewan Mein Aurat Ek Baar Mohabbat Karti Hai
Lekin MujhKo Ye Bata De Kya Tu Aurat Zaat Nahi
Khatam Hua Mera Afsana Ab Ye Aansoo Poonch Bhi Lo
Jis Mein Koi Tara Chamke Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi
Mere Ghumgeen Hone Par Ehbaab Hai Youn Heraan QATEEL
Jaise Main Pather Hoon Mere Seene Jazbaat Nahi.

Sunday, May 18, 2014

Urdu Sad Poetry, Sad Picture Poetry,

Dekhta hon k koi pursaan nahi ghareebon ko
Sochta hon k mujhay jeenay ka haq hay bhi k nahi.

Thursday, May 15, 2014

Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de
Wo tiiragii hai ke ab Khawaab tak dhikhaaii na de

Bohat sataate hain rishte jo toot jaate hain
Khudaa kisii ko bhii taufiiq-e-aashanaaii na de

Main saarii umr andheron main kaat saktaa huun
Mere diiyon ko magar roshnii paraaii na de

Agar yahii terii duniiyaa kaa haal hai Maalik
To merii qaid bhalii hai mujhe rihaaii na de

Duaa ye maangii hai sehame huay mu'arrik ne
Ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnaaii na de.




Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, 
Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay

Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay

Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay

Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay.



Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya

Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya

Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya

Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya

Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya

Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya.

Ghum Sum howa aawaz ka darya tha wo ik shakhs, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Ghum Sum howa aawaz ka darya tha wo ik shakhs
Pathar bhi naheen ab wo sitara tha jo ik shakhs

Shayd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehroon ko baray ghor se parta the wo ik shaks

Sehra kee tarah dair se piyasa tha wo shayd
Badal kee tarah toot key barsa tha wo ik shakhs

Ay taiz hawa koi khabar us key janoon kee!
Tanha safr-e-shouq pe nikla tha jo ik shakhs

Ab akhree sitroon main kaheen naam hai us ka
Ahbaba kee feh-rist main pehla tha jo ik shakhs

Hathoon main chhupay hoay phirta hai kai zakham
Sheeshay key khilonon se behilta tha jo ik shakhs

Mur mur key isay dekhna chahain meri akhain
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs

Har zehn main kuchh naqsh-e-wafa chhor ghia hai
Kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ik shakhs

Munkar hai wohee ab meri pehchan ka faysal
Aksar mujay khat khoon se likhta tha jo ik shakhs.




Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, 
Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,

Hijr ka taara doob chala hai, Wasi Shah, Wasi Shah Best Poetry, Heart Touching Poetry By Wasi Shah,


Hijr ka taara doob chala hai, dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi

Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi

Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi

Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi

Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi

Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat "WASI".

Yeh hadain na tourr dainaa, Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Yeh hadain na tourr dainaa, meray daairey mein rehnaa
Mujhey apney dil mein rakhnaa, meray haafzzey mein rehnaa

Meray mazaroun mein bassnaa, meri guftugoo mein hounaa
Meray lamss mein samaana, meray zaaiqey mein rehnaa

Kabhi dhoop kay nagar mein,mera saath chhour jaana
Kabhi meraa akss ban ker meray aainey mein rehnaa

Kabhi manziloun ki soorat, meri dastarass sey baahir
Kabhi sang-e-meel ban ker meray raastey mein rehnaa

Meray haath ki lakeerain tera naam ban kay chammkain
Meri khwaahishoun ki khushboo meray zaaichey mein rehnaa.




Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal,
Urdu Poetry, Sad Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, 

Woh apnay chehray mein, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal,


Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain

Woh paas baithay to aaatee hai dilruba khushboo
Woh apnay hothon pay khilta gulab rakhtay hain

Har ik wark mein tum hi tum ho jaan-e-mehboobi
Hum apnay dil ki kuch aaisee kitab rakhtay hain

Jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee dey
Hum apni aankh mein kitnay Chenab rakhtay hain

Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain.




Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, 
Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal,