Dar-e-Qafs Se Paray Jab Saba Guzarti He
Kisay Khabar k Aseeron Pe Kya Guzarti He,
Talluqat Kabhi Es Qadar Na Tootay Thay
k Teri Yaad Bhe Dil Se Kafa Guzarti He,
Woh Ab Milay Bhe To Milta He Es Tarah Jaisy
Bujhay Chiragh Ko Chu Kar Hawa Guzarti He,
Faqeer Kab k Gaye Janglon Ki Samt Magar
Gali Se Aaj Bhe Un Ki Sada Guzarti He,
Yeh Ahl-e-Hijar Ki Basti He' Ahtiyat Se Chal!
Musibaton Ki Yahan Intiha Guzarti He,
Na Pooch Apni Ana Ki Baghawatain Mohsin
Dar-e-Qubul Se Bach Kar Dua Guzarti He.

No comments:
Post a Comment