Wednesday, April 30, 2014

Door tak chhaaye thay baadal aor kahin saaya na tha, Qateel Shifai, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Heart Touching Poetry,

Door tak chhaaye thay baadal aor kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mosam kabhi aaya na tha

Kaya mila aakhir tujhe,saayon k peechhe bhaag kar
Ae dil-e nadaa'n,tujhe kaya ham ne samjhaaya na tha

Uff ye sanaatta k aahat tak na ho jis main mukhal
Zindagi main is qadar ham ne sakoo'n paaya na tha

Khoob roye chhup k ghar ki chaar-diwaari main ham
Haal-e dil kehne k qaabil koi hamsaaya na tha

Ho gaye qalaash jab se aas ki dolat lutti
Paas apne,aor to koi bhi sarmaaya na tha

Wo payyambr ho k aashiq,qatal-gaah e shouq main
Taaj kaanton ka kise dunya ne pehnaaya na tha

Ab khula,jhonkon k peechhe chal rahi thi aandhiyan
Ab jo manzar ha wo pehle to nazar aaya na tha

Sirf khushbu ki kmi thi ghor k qaabil QATEEL
Warna gulshan main koi bhi phool murjhaaya na tha.

Ham Sokhta Janoun Ki Khatir, Qateel Shifai, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,

Ham Sokhta Janoun Ki Khatir Aaraish Aarzo-o-Lab Hi Sahi
Jo Barsoun Tum Kar Nah Sakay,Woh Qatal K Saaman Ab Hi Sahi

Ae Baadah-e-Naab K Rakhwalay,Do Ghount Idhar Bhi Pohancha Day
Mayaar-e-Karam Is Mehfil Ka Paimana Naam-o-Nasab Hi Sahi

Jo Kuch Bhi Koi Kehta Hay Kahay,Izhar-e-Tamana To Ho Ga
Ham Ahl-e-Junoon Ki Batoun Main Kuch Pehlo-e-Sooye Adab Hi Sahi

Mojoud Hain Panchi Gulshan Main,Phir Kuin Hay Sakoot-e-Marg Yahan
Pur Shoor Tarano K Badlay Ek Naghmah Zair-e-Lab Hi Sahi

Apnay pah Bharosa Hay Jinko,Naghmat-e-Sehar Bhi Sun lain Gay
Kirnoun Ki Damakti Aahat Tak Naqqara Aakhir Shab Hi Sahi

Aalooda Zubaan Ho Jaye Gi,Insaaf Ki Meethi Boli Hay
Tum Apni Rawish Ko Mat Badlo, Ham Moorad-e-Qehr-o--Ghazab Hi Sahi

Daikha Hay Qateel Aakhir Sab Nay Is Shaukh Ko Bhi Maail-e-Bah Karam
Is Kaar-e-Numayaan K Peechay Gustakhiy-e-Dast-e-Talab Hi Sahi.

Roshan Woh Mera Gosha-e-Tanhai To Kar Jaye, Qateel Shifai, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,

Roshan Woh Mera Gosha-e-Tanhai To Kar Jaye
Yaadoun Main Sahi,Anjuman Aarai To Kar Jaye

Yeh Meri Zamanat Hay Kah Paaye Ga Woh Shuhrat
Thori Si Woh Pehlay Meri ruswai To Kar Jaye

Kar Doun Main Usay Aqal K Mafhoom Say Waaqif
Kuch Din K Liye woh Mujhay Sodaai To Kar Jaye

Sab Kehtay Rahain Main Usay Qaatil Nah Kahun Ga
Lakin Woh Koi Kaar-e-Maseehai To Kar Jaye

Main Daikh Sakun Chehroun K Peechay Bhi Hay Kya Kuch
Itni C Ata Woh Mujhay Baynaai Kar Jaye

Main Kar to Sakun Jurm-e-Muhabbat Ki Wazahat
Phir Jo Woh Saza Day, Meri Shanwaai To Kar Jaaye

Hay Farz Qateel Us Pah Mera Jaan Chirakna
Par Woh Meri Kuch Hosla Afzaai To Kar Jaye.

Tuesday, April 29, 2014

Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabi Aya Bi Nahi,


Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabi Aya Bi Nahi
Kesa Badal Hai Jis Ka koi Saya Bi Nahi
Be Rukhi Is Se Bari Aur Bhla Kia Ho Gi
Ik Mudat Se Hmain Us Ne Staya Bi Nahi
Roz Aata Hai Dar-e Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Ham NE Jise Pass Bulya Bi Nahi
Sun Liya Kese Khuda Jane Zmane Bhar Ne
Wo Fsana Jo Kabi Ham Ne Sunya Bi Nahi
Tum Tu Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Us Ne Chaha Bi Tuje Aur Jtaya Bi Nahi.

Qateel Shifai, Qateel Shifai Poetry, Qateel Shifai Urdu Poetry, Urdu Poetry Qateel Shifai, Urdu Picture Poetry,


Aik Wo Din Tha K Bna Deed Tarap Jate Thay
Aik Ye Din Ke Behal Jate Hai Peghamon Se.

Saturday, April 26, 2014

Hamza Baba Poetry, Pashto Poetry by Hamza Baba, Pashto Great Poet Hamza Baba, Hamza Baba Shairy,


Da khafgan na me pa stargo ki khob nishta
Pa zarrge me da ghamono hisaab nishta

Che ashna darla ratalay jawab darki
Bus da de na kho ochat sa azab nishta

Che baran ta tarrmo okhko rawareegi
La tar osa pori wali selab nishta

Saqi sta pa mekhana k nasha na shom
Che ida ne ki os dasi sharab nishta

Dasi wakht hom rarawan de malgaro
Saba ba waowry che khyber ki "HAMZA" nishta.

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee


Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee
Jaisii Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisii tou Na thee,

Le gaya Chhiin Ke aaj kaun tera sabr-o-qarar
Beqarai tujhe ai dil kabhi aisii tou na thee,

Un kii aankhon ne khuda jaane kia kya jaadu
Ke tabiyat meri maa_il Kabhi aisi tou na thee,

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii,

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujh ko chamakayaa
taab mein maah-e-kaamil kabhi aisis tou na thee,

Kya sabab hai tu jo bigata hai zafar se har baar
Khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi tou na thee.

Friday, April 25, 2014

Ghalib Poetry, Mirza Ghalib Poetry, Urdu Poetry by Mirza Ghalib,

Ghalib bura na maan jo waiz bura kahe
Aisa bhi koi hay k,,,, Sab acha kahe.

Mirza Ghalib

Faiz Ahmed Faiz, Faiz Ahmed Faiz Poetry, Faiz Ahmed Faiz Urdu Poetry, Urdu Poetry,

Kuch pehlay en aankhon aagay kya kya nazara guzre tha
Kya roshen hojati thi gali jab yaar hamara guzre tha

Thay kitnay achay log k jin ko apne gham se fursat thi
Sab pochte thay aihwal jo koi dard ka mara guzre tha

Faiz Ahmed Faiz

Faiz Ahmed Faiz, Faiz Ahmed Faiz Poetry, Urdu Poetry Urdu Pictures Poetry,

Aur kuch dair na guzre shab e farqat se kaho
Dil bhi kam dukhta hay, wo yaad bhi kam  ata hay.

Faiz Ahmed Faiz

Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Romantic Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry,

Dua e bad nahi deta faqt itna he kehta hon
K jis pe aajaye tera dil wo bewafa niklay.

Wednesday, April 23, 2014

Ze Khpala Meena Dewalunu Bandy Na Likam, Pashto Poetry, Pashto Best Poetry, Pashto Sad Poetry, Sad Poetry, Sad Love Poetry,


Ze Khpala Meena Dewalunu Bandy Na Likam
Bacha Numuna Pa Lasunu Bandy Na Likam

Ma Qallam Da Zrhe Pa Veeno Ki Dob Kary Dy
ze Khpala PUKHTO Kacha Rangono Bandy Na Likam.

Zargiya Bas De Nor Da Khkulo Khaar Ke Na Osego, Pashto Best Poetry, Pashto Ghazal, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Sad Poetry, Sad Poetry,


Zargiya Bas De Nor Da Khkulo Khaar Ke Na Osego
Mung Pukhtana Yo Da Mughalo Khaar Ki Na Osego

Pake Laman Che Da Haya She Tar Pa Tar Pa Azagho
Ode Khuri Sar Da Dase Gulo Khaar Khaar Ki Na Osego

Pake Khumar Che Da Hawas La Har Nazar Na Sasi
Wrok De Shi Da, Da De Khaghalo Khaar Ki Na Osego

Dalta Ke Meena Mudaam Lagi Da Tuhmat Pa Kanro
SARDARA, Nor Da De Sangdilo Khaar Ki Na Osego

Da Intezar Mazeegar Makham Ta Warasedo, Pashto Best Poetry, Pashto Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Sad Poetry,


Da Intezar Mazeegar Makham Ta Warasedo
Marr Sho Da Meene Lewanay Anjam Ta Warasedo

Jalai Ye Okrra Zama Da Umeedono Pa Bagh
Sta Da Khumaro Stargo Zulam Baam Ta Warasedo

Sar Aw Saman Ba Nazrana Darta Raorrama Seikha
Tagey Tanha Me Ka Da Shondo Jaam Ta Warasedo.

Tuesday, April 22, 2014

Yahan pal pal jalna parta hai, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Yahan pal pal jalna parta hai
Her rang mein dhalna parta hai

Har modd pe thokar lagti hai
Har haal mein chalna parta hai

Har dil ko samajhney ki khatir
Bas khud se larna parta hai

Kabhi khud ko khona parta hai
Kabhi chup k rona parta hai

Kabhi neend na aaye phoolon pe
Kaanton pe sona parta hai

Kabhi mar k jeena parta hai
Kabhi jee k marna parta hai

Kabhi to khushiyan lout k ayen gi
Iss aas pe jeena parta hai

Yahan her Haal mein jeena parta hai
Yahan her Hall mein jeena parta hai.

Saturday, April 19, 2014

Ishq Ki Chahat Se Ikrar Na Karte


Ishq Ki Chahat Se Ikrar Na Karte
Uski bato Ka Aitbar Na Karte

Agar Pata Hota Hum Sirf Majak Hai Uske Liye
Kasam Se Jaan De Dete Par Pyar Na Karte.

Friday, April 18, 2014

Waqt Aur Pyar


Waqt Aur Pyar Zindagi Mein Bohut Khas Hote Hai
Waqt Kisi Ka Nahi Hota Aur Pyar Har Kisi Se Nahi Hota

Pyar Karo To Dhoka Mat Dena


Pyar Karo To Dhoka Mat Dena
Pyar Ko Aansu Ka Toufa Mat Dena,

Dil Se Roye Koi Tumhe Yaad Karke
Aisa Kisi Ko Mouka Mat Dena.

Khauff-e-duniya se mere paas na aane wale,


Khauff-e-duniya se mere paas na aane wale
Jaan rakhte hain hatheli pe nibhane wale

meri ruswai mein gairon ka koi dosh nahi
iss mein shamil hain mere apne chahne wale

kitna nadaan hoon iss aas pe zinda hoon
laut aayenge mujhe chod ke jaane wale

ab kahon tujhko main 'mohsin' toh bhala kaise kahoon
kar ke ehsaan sar-e-aam jatane wale

ab toh rasta hai na manzil hai na shanasa hai koi
shukriya shukriya iss mod pe laane wale.

Tuesday, April 15, 2014

Bol hawa, uss paar zamanay kaise hain?, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry,

Bol hawa, uss paar zamanay kaise hain?
Ujray shehar mein yaar purane kaise hain?

Chaand uterta hain ab kis kis aangan mein,
Kirnon se mehroom gharane kaise hain?

Lab basta darwazon par kya beet gayi,
Galiyoon se mansoob afsaane kaise hain?

Jin k jhurmat mein shaamain dam torr gaeen,
Wo pyaare,pagal parwaane kaise hain?

'Mohsin' hum tou khair khabar se dar guzray,
Apne roothe yaar na jane kaise hain?

Khafa Hy Mujhse Mujhe Pareshan Krta Hy, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sadest Urdu Poetry,


Khafa Hy Mujhse Mujhe Pareshan Krta Hy
Ajeb Shakhs Hy Khud Se Bad-Guman Krta Hy

Na Meri Parwa Hy Na Mery Haal Ki Kuch Khabr
Salook Wo Karne Laga Hy Jaise koi Anjaan Krta Hy

Wo Mery Zikar Pe Uktana
Mujhse Katraa K Guzar Jana

Aisa Lagta Hy Jaise Wo Dori Ka Saman Krta Hy
Pehle To Mujhse Milna He Aham Tha Jis K Liye

Ab Milta B Hy To Jaise Ehsan Krta Hy
Taluq Torna Hy To Aa K Keh Dy Mjhse
Wo Aisi Baten Ghiron Se Q Bayan Krta Hai.

Monday, April 14, 2014

A ja k Abhi zbt ka mosm nhi guzra, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


A ja k Abhi zbt ka mosm nhi guzra
A Ja k paharo'n pe abi barf jami hai

Khusboo k jazeero'n se sitaaro'n ki hado'n tk
Is Shehr mei sub kch hai fakat TERI kmi ha.

Sunday, April 13, 2014

Dar-e-Qafs Se Paray Jab Saba Guzarti He,

Dar-e-Qafs Se Paray Jab Saba Guzarti He
Kisay Khabar k Aseeron Pe Kya Guzarti He,
Talluqat Kabhi Es Qadar Na Tootay Thay
k Teri Yaad Bhe Dil Se Kafa Guzarti He,
Woh Ab Milay Bhe To Milta He Es Tarah Jaisy
Bujhay Chiragh Ko Chu Kar Hawa Guzarti He,
Faqeer Kab k Gaye Janglon Ki Samt Magar
Gali Se Aaj Bhe Un Ki Sada Guzarti He,
Yeh Ahl-e-Hijar Ki Basti He' Ahtiyat Se Chal!
Musibaton Ki Yahan Intiha Guzarti He,
Na Pooch Apni Ana Ki Baghawatain Mohsin
Dar-e-Qubul Se Bach Kar Dua Guzarti He.

Saturday, April 12, 2014

Good Night, Good night Pictures,

Good nigh My Sweet Friends,
Have A Nice Dream.

Good Night, Good Night Sms, Good Night Pictures,


Stars light Stars bright
You are the only Star I see tonight.
I wish I might be there guarding
your dreams tonight,
good nite sweet dreams.

Friday, April 11, 2014

Thursday, April 10, 2014

Stargo Kram Saqi Nasha Nasha Da Yaar, Pashto Best Poetry, Pashto Ghazal, Pashto Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,

Stargo Kram Saqi Nasha Nasha Da Yaar
Za Shom Tamasha, Pa Tamasha Da Yaar
Prewatam Bekhala Pa Zan Poh Na Shom
Sa Ba Kram Yaarano Za Gila Da Yaar
Taab Ye Da Kato Pa Zaan Ke Na Lari
Husan Na Sharmege Aayina Da Yaar
Za Pre Sar Tar Paa Lamba Lamba Shoma
Be Oora Zwani Da Sra Lamba Da Yaar
Heer Wara Ghamoona Hagha Dam Ba Shi
Kala Che Odah Shom Pa Seena Da Yaar
Hes Pa Khwago Poh Da Jwandon Na Shoma
Khudaygo Che Da Meena Ajeeba Da Yaar
Raba Daa Dua Ye Nan Qabola Kray
KHIYAL Kry Da Baran Pa Shpa Melma Da Yaar.

Khalaq Me Tol Pa Tamasha Shi, Israr Atal, Israr Atal Poetry, Israr Atal Pashto Ghazal, Atal Pashto Poetry,

Khalaq Me Tol Pa Tamasha Shi Ma Salgaiy Onesi
Che Kala Hum De Gham Razi Rala Maray Onesi
Sta Tor Neqab Ba Sta Da Speen Makh Parda Sang Osati
Ranra Tre Bya Hum Ozi Tandar Che Spogmay Onesi
Yar Da Aghyar Pa Tash Kato Dase Warmande Wakhi
Laka Mashom Ta Che Pa Laso Ke Ropaye Onesi
Aw Merman De Wakhlam Gharebay Pa Mung De Sa Onakral
Bacho Da Mor Gheg Prekhe Na Wi Mazdoray Onesi
ATALA Da Sanga Kedy Shi Che Qabola Na Shi
Che Sta Dua La Sra Lasona Lewanaye Onesi.

Moam ki tarha pighlty howye daikha us ko, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Moam ki tarha pighlty howye daikha us ko
Rut jo badli to badalty howye daikha us ko

Jany kis ghum ko chhupany ki tamanna hai usy
Aaj her baat par hansty howye daikha us ko

Wo jo kanton ko bhi narmi se chhuwa karta tha
Hum nay phoolon ko masalty howye daikha us ko

Najany woh duaon main mangta hai kissy
Haath uthaty he sisakty howye daikha us ko

Tb haath dua k liye uthaaye hum nay
Jab muqaddar say ulajhty howye daikha us ko.

Wednesday, April 9, 2014

Log to shayari ko ajeeb samajhte hain, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry,


Log to shayari ko ajeeb samajhte hain
Hum to shayari ko naseeb samajhte hain

Wo mujhse door sa rehti hain magar
Hum to doori ko kareeb samajhte hain.

Za Laa Staa Pa Yaad Kai Naast Yam


Za Laa Staa Pa Yaad Kai Naast Yam
Pa Laas Che Pa Nakrizo Srra Guluna Jora Vi
Pa Zra Mai Da Ghamunu Ambaaruna Jora Vi
Daa Zaka Mai Da Zra Zakhmuna Ro Ro Saiwaa Kegi
Pa SpEEn Rukhsaar Che Yar Shna Khaaluna Jora Vi
Os Ba Warta Kha Ting She Zama Zargy Saada DEy
Pa Khula Che Lewanaye Daasay Ghat Ghat Ghruna Jora Vi
Os Kabar Dumra Ma Krra Kana Khair DEy Ka GharEEb DEy
Pa Zra Kai Kho Tal Taa Ta Mahaluna Jora Vi
Maa Noman Sadiq Parwah Da Ghrunu Na Da Karry
Tar So Ba RaqEEbaan Raata Chaluna Jora Vi.

Monday, April 7, 2014

Pyar usse iss qadar karti chali jaun, Sad Love Poetry, Sad Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Poetry,


Pyar usse iss qadar karti chali jaun
Wo zakhm de aur main bharti chali jaun

Usski zid hai ki vo mujhe maar hi dale
Tu meri bhi zid hai usspe marti chali jaun.

Zindgi Chahat ka Silsila Hai, Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry,


Zindgi Chahat ka Silsila Hai
Phir Bhi Jisko Chaha Wo Kaha Mila hai

Dushmano Se Humse Koi Shikayat nahi
Apno Ne Hi Loota iss Baat Ka Gila hai

Jisko Chaha Wo hi De Gaya Daga Humko
Zamane Mein Kya Yahi Milta Wafa ka Sila hai.

Zaroori To Nahi Jo Shayri Kare, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Zaroori To Nahi Jo Shayri Kare Usse Ishq Hi Ho
Zindagi Bhi Kuch Zakham Be- Misaal Deti Hai.

Main phool hun meri khushbu tum ho, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Main phool hun meri khushbu tum ho
Main dil hun meri dharkan tum ho

Main jaan hun meri roh tum ho
Main jism hun meri zindagi tum ho

Main aks hun meri haqiqat tum ho
Main saya hun meri surat tum ho

Main lab hun meri baat tum ho
Main tab hun mukamal jab mere sath tum ho.

Waqt ne Humein chup rehna sikha diya, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Waqt ne Humein chup rehna sikha diya
Aur halat ne sub kuch sehna Sikha diya

Ab kisi Se koi Aas nahi hai Mujhe
In Tanhaiyon Ne humein Akele Jeena sikha diya.

Ek roj juda ho jaunga Na jane kha kho jaunga, Sad Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry,


Ek roj juda ho jaunga
Na jane kha kho jaunga

Tum laakh pukaroge mujko
Par laut k main na aaunga

Jab ghar k baher galiyeo k
Konon pr tanha baithoge

Jab aate jaate chehron mein
tum chehra mera na paoge

Thak haar k din ke kaamo se
Jab raat ko sone jaoge

Dekhoge jab phone ko
paigaam mera na paoge

Tab yaad tumhe main aaunga
Par laut k main na aaunga

Ek roj j rishta shotega dil
Itna jyada tootega

Phir koi na aapse roothega
Main na aankhein kholunga

Tum se kabhi na bolunga
Aakhir us din tum ro doge

Phir tum apne pyaar ko kho do gye.

Unki duaon se hume wo sahara mila, Urdu Best Poetry, Best Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Unki duaon se hume wo sahara mila
Jo milta nahi kisi ko wo kinara mila
Kin lafjon me hum bayan karev unki ahmiyat
Jaane kitno ki bheed me koi itna pyara mila.

Sawal Kuch B Ho, Jawab Tum Hi Ho, Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Sawal Kuch B Ho
Jawab Tum Hi Ho
Rasta Koi Bhi Ho
Manzil Tum Hi Ho
Dukh Kitna Hi Ho
Khushi Tum Hi Ho
Arman Kitne Bhi Ho
Aarzoo Tum Hi Ho
Gussa Kitna Bhi Ho
Pyar Tum Hi Ho
Khawab Koi Bhi Ho
Us Mein Tum Hi Ho
kyunki Tum Hi Ho
Ab tm hi ho
meri ashiqi ab tum hi ho.

Dhoop tez hai paas saya b nhi, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry,

Dhoop tez hai paas saya b nhi
Dard aisa hai k rona aaya b nhi,
Tere siva maine kisi ko apna mana hi nhi
Q k tere jaisa dost Rab ne banaya hi nahi.