Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo,
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,

Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar,
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,

Bhaamp jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa,
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,

Baat choti si bhi afsaana bana deti hai,
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,

Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe,
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,

Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain,
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,

Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool,
Yu’n sar-e-bazm to is se yeh taqaaza na karo..

No comments:
Post a Comment