Tuesday, July 30, 2013

Hamain Surrat Se Kia Matlab, Hum Seerat Pe Martay Hain


Hamain Surrat Se Kia Matlab, Hum Seerat Pe Martay Hain,
Usay Kehna Tumhara Husn Jab Dhal Jaaye To Lout Aana..!

Taqdeer ne, Mohabbat ne, Ishq ne, Doston ne

Taqdeer ne Mohabbat ne Ishq ne Doston ne,
Jis ne bhi Chaha Mera Tamaasha Bana Diya..!


Aqwal-e-Zareen - Quote By Hazzrat ALI (R.A)

Aqwal-e-Zareen - Quote By Hazzrat ALI (R.A)

Kuch Khuwab Meri Jaagti Aankho ko Sonp Kr

Kuch Khuwab Meri Jaaagti Aankho ko Sonp Kr,
Wo Aandhiyoun Main Rait Ka Ghar Sonp Gia Mujy.!

Tum Aaao Tumhaari Nazar Utaarain Hum

Tum Aaao Tumhaari Nazar Utaarain Hum,
Khud Ko Phenk Dein Tere Sir Se Waar K..!

Ab Agar Woh Roothay Ga To Yeh Iltijaa Karoon Gi

Ab Agar Woh Roothay Ga To Yeh Iltijaa Karoon gi,
Bin Apnay Jeenay Ka Koi Andaaz Hi Sikha Jaaao..!

Bus Tum...

Bus Tum

Kuch To Ha Pehlu Main Mere

Kuch To Ha Pehlu Main Mere Reh Reh Kr,
Ab Khuda Jaanay Teri Yaad Ha Ya Mera Dil.!

Ek ShakS Ko ChahA Tha..


ILzaam Mohabat K Dar Se Chor Diya Shehar Apna

Ilzaam Mohabat K Dar Se Chor Diya Shehar Apna 
Warna,
Yeh Choti Si Umer Pardes K Qabil Kahan Thi..!

Nazakat Le K Aankhon Main Wo Unka Dekhna Touba

Nazakat Le K Aankhon Main Wo Unka Dekhna Touba,
ILaahi Hum Unhain Dekhain Kay Unka Dekhna Dekhain..!



Monday, July 29, 2013

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry




Dr.Allama Muhammad Iqbal Poetry

Tujhe Ishq ho Khuda Karay...


Inkaar Jesi Lazzat Iqraar Main Kahan

Inkaar Jesi Lazzat Iqraar Main Kahan,
Bharta Ha Ishq Ghalib Us Ki Nahi Nahi Se.!

Woh Sath Thi Meray, Ya Main Sath Tha Us Kay

Woh Sath Thi Meray, Ya Main Sath Tha Us Kay,
Woh Zindagi K Kuch Din, Ya Zindagi Thi Kuch Din.!

Sangay mar-mar se tarasha hua ye shokh badan

Sangay mar-mar se tarasha hua ye shokh badan
Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai
surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab
jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai
naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan
jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai
Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,
Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,
Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazeb dil,
Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,
Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,
Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,
Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,
Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,
Chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko,
Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,
Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,
Noor hi noor jhalakta hai haseen chehre se,
Bas yahin sajde mein gir janey ko jee chahta hai,
Mere daman ko koi aur na chuu paye ga,
Tum ko chuu kar kasam yeh khaney ko jee chahta hai,
Chand chehra hai tera aur nazar hai bijli,
Aik ik jalwe pe mar janey ko jee chahta hai,
Chand ki hasti hi kya samne jab suraj ho,
Aap ke kadmon mein mitt janey ko jee chahta hai.!

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Koi suhana iqrar kijiye,
O sharmaana kesa, ghabrana kesa,
Jeene se pehle mar jaana kesa,
Aanchlon ki chaaon mein,
Ras bhari fizaon mein,
Is zindagi ko gulzar kijiye,
Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye,
Aati baharain, jaati baharain!
Kab se khari hain bandhey qatarain,
Chaa rahi hai bekhudi,
Keh rahi hai zindagi,
Jee ki umangain beidaar kijiye,
Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Dil se bhula ke ruswaayion ko,
Jannat bana le tanhayion ko,
Aarzuu jawan hai,
Waqt meherbaan hai,
Dil ko na jane hosheyaar kihjiye,
Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!

Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi

Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi,
Main muntazir hun magar tera intazar nahi,
Humi say rang e gulistan humi say rang e bahar,
Humi ko nazm e gulistan pey ikhtayar nahi,
Abhi na cher mohabbat kay geet ay matrab,
Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi,
Tumharey ehad e wafa ko main ehad kya samjhon,
Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi,
Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem,
Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi,
Gurez ka nahi qail hayat sey lekin,
Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi,
Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney,
Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi..!

Sach Hai Hamee'n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”,
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay..!

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke.!

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se.!

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain

Phir nazar mein phool mehke

Phir nazar mein phool mehke, 
Dil mein phir shamain jali’n,

Phir tassawur ne liya,
Us bazmm mein jaane ka naam.!

Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K

Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K
Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai
Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K
Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K
Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj ‘Faiz’
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K.!

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia..!

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete.!

Woh bachpan ki neend to ab khawb ho gayi

Woh bachpan ki neend to ab khawb ho gayi,
Kya umar thi key raaat huyi aur so gaaye..!

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahu main

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahu main,
Yeh kaanch ke tukrron ko uthaney ki sazaa hai..!

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin,
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi.!

Ab aur jeeney ki surat nazar nahin Aati

Ab aur jeeney ki surat nazar nahin Aati,
Kisi tarah bhi achi khabar nazar nahin ati,
Ussi ke aas main hai dil ka hujraa tareek,
Woh roshni jo kabhi mere ghar mein nahin ati,
Woh meherbaan hai to mehraab-o-baam tak na rahe,
Yeh dhoop kyon pas-ey dar o deewar nahin ati,
Hayaat mein ab koi aesa morr nahin,
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar nahin ati,
Qabooliyat ki hai gharri to us ko maang hi loon,
Ke yeh gharri kabhi baar-e-dagar nahin ati,
Saraaye khaana dunyiyaa main shaam hoti hai,
Musaafiron ko naveed-e-safar nazar nahin ati..!

Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha
Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha
Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha
Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha
Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay,
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha..!

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay
Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay
Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay
Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay
Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay
Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay
Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa.!

Marney se bhi pehle mar gaye they

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,
Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,
Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,
Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,
Ab tak wohhi nasha e paziraaayi,
Kya jaaniye hum kidhar gaye thy.!

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin,
Wo janta tha kay hey ehtamam kis kay liye..!

Apne aap se phirtey hain be-ganey kyon

Apne aap se phirtey hain be-ganey kyon,
Sheher mein aakar log huye deewaney kyon,
Hum ne kab maani thi baat zamaney ki,
Aaj hamari baat zamana maaney kyon,
Woh jungle ke phoolon per kyon marta hai,
Us ko achey lagte hain veeraney kyon,
Sachi baat se ghabraney ki aadat kya,
Jhootey logon se apne yaraaney kyon,
Halwat* mein jo aankh milatey darta ho,
Mailey mein woh shakhss humain pehchaney kyon,
Mohsin jab bhi chott neyi kha leta hoon,
Dil ko yaad atey hain yaar puraney kyon.!

Munhasir ehl-e-sitam per hi nahi’n hai ‘Mohsin’

Munhasir ehl-e-sitam per hi nahi’n hai ‘Mohsin’
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. . !

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha
Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha
Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha
Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun
Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun
Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun
Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun.!

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha
Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha
Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha
Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”,
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha.!

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind
Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind
Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind
Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind
Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind..!

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa,
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi.!

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do
Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do
Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do
Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do
Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do
Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saaray Sawaab Rehnay Do...!!

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena.!

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Ye Siyaasi Bayaan Thori Hai
Dar Sa Lagta Hai Kiun Nateejay Se
Ishq Hai Imtehaan Thori Hai
Chhorr Kar Chal Dya Hamain Yun Hee
Wo Koi Badgumaan Thori Hai
Teer Ki Ja Gulaab Kiun Na Milain
Zindagi Hai Kamaan Thori Hai
Koi Shikwah Karain Tou Kaisay Karain
Apne Mun Mein Zabaan Thori Hai
Ham Ko Takta Hai Jis Haqaarat Se
TU Koi Aasmaan Thori Hai
Hum Se Milnay Ko Chal Ke Aaye Magar
Is Qadar Meherbaan Thori Hai
Koi Basnay Laga Hai Is Mein “ Batool”
Dil Hai, Khaali Makaan Thori Hai..!

Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo

Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo,
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,
Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar,
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,
Bhaamp jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa,
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,
Baat choti si bhi afsaana bana deti hai,
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,
Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe,
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,
Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain,
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,
Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool,
Yu’n sar-e-bazm to is se yeh taqaaza na karo..

Socha hota khawb dikhaney se Pehle

Socha hota khawb dikhaney se pehle,
Aur kisi ko apna bananey se pehle,
Kuch pal us ko neend mein ghaur se dekho to,
Dheerey dheerey us ko jaganey se pehle,
Soch lo is mein koi qeemti shey hi na ho,
Dil ke sheher ko aag laganey se pehle,
Dekha, to sab tan man raakh ka dhair hua,
Apne dono hath bachaney se pehle,
Socha, rab se us ko maang ke dekhoon to,
Sar sajdey se aaj uthaney se pehle,
Ab pachtaney se bhi kya haasil ho ga,
Socha hota aankh milaney se pehle,
Aao aakhri baar karain hum yaad usey,
Sach much us ko aaj bhulaney se pehle.!

Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin

Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh sey zeyadaa to nahin..!

Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay

Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay
Khwaab Palkon Se Be-Rukhi Se Milay
Aap Ko Mil Gaye Hain Qismat Se
Ham Zamanay Mein Kab Kisi Ko Milay ?
Aisay Khushbu Se Mil Raha Hai Gulaab
Jis Tarah Raat, Roshni Se Milay
Ham Faqeeron Se Dosti Hai Magar
Os Se Kehna Ke Saadgi Se Milay
Dil Mein Rakhtay Hain Ehtyaat Se Ham
Zakham Jo Jo Bhee Jis Kisi Se Milay
Zindagi Se Galay Milay Tou Lagaa
Ajnabi Jaisay Ajnabi Se Milay
Os Ke Seenay Mein Dil Nahee Tha “Batool”,
Ham Ne Socha Tha Aadmi Se Milay.!

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai,
Ise Naakaam Karna Chahti Hun.!

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun,
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi.!

Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain

Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain
Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi
Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain
Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai
Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein
Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi ?
Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi,
Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain.!

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay
Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay
Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha,
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay.!

Yeh hum hi jantey hain judaai ke morr pr

Yeh hum hi jantey hain judaai ke morr pr,
Iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua..!

Haathon ki lakiroon pay matt ja ai Ghalib

Haathon ki lakiroon pay matt ja ai Ghalib,
Naseeb un k bi hote hain jin k hath nehi hote.!

Mirza Ghalib vs Allama Iqbal vs Ahmad Faraz

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..!
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..!
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar Fraz,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin.!
(Ahmad Faraz)

Ye na thi hamari qismat k wisaal-e-yar hota

Ye na thi hamari qismat k wisaal-e-yar hota
Agar aur jeetey rehtey yahee intezaar hota
Tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa,
Ke Khushee se mar na jaate agar ? Eitabaar hota.!

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
Ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko?
Her Sitam Bay-misaal Kartay ho...! 

Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke Ehl-e-dard

Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard,
Rakhte hain paaon khaak par sau baar dekh kar...!

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye
Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye
Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye
Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye
Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye.!

Sari raat ki jaagi Aankhein

Sari raat ki jaagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi,
Yunhi khoye, dil hi dil mein,
Jaanay kiya kiya karti hon gi,
Sari raat ki jaagi aankhen,
Koi bolay, kaan na dharna,
Koi hillay to ek dam darna,
Koi daikhe in ka barhna,
Apne aap say larti hon gi,
Sari raat ki jagi aankhein,
Apni kitaabein phartey rehna,
Us ki baaten kartey rehna,
Us ki yaadein ghartey rehna,
Jeetay jeetay marti hon gi,
Sari raat ki jagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi.!

Abhi kuch bhi nahin badla

Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao.!

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum.!