Tuesday, October 11, 2011

...::: Kuch Ashar :::...

Behter hai ise ghar ke kisi Taaq main rukh do
Tota huwa dil le ke kahan janne lagay ho?

Ashob-e-Nazar se bhi pharkti hai kabhi ankh
Tum yeah na samjhna use yaad anay lagay ho

________

Jo udass hain tere hijer main, jinhien bhoj lagti hai zindagi
ser-e-bazm unko dekh ker tera moun chupanay ka shukria

Jo zamanay bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha diya
Yahi rasm tehray gi moutber mujhe bhool jannay ka shukria

________

Wo ik shakhsh ke jis se muhabbtien thien buhat
Hafa hoye to usi se shikiaytien thien buhat

Buhat Aziz thay apnay asool us ko bhi
Humien bhi apni Aana ki zarooratien thien buhat

_________


Hai yeah bhi such ke tere Samnay mujhe barsoon
Koi Rafeeq, Koi kaam bhi na yaad aya

Yeah jhoot bhi nahi hai tujhe jo kal dekha
To kitni dare tera naam bhi na yaad aya

________

Wo Aye bhi to ko0nsa Ehsan ker gay
bethay bethay hum ko parishaan ker gay

______

Apnay khilaf faisla khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain

Daira war hi to hain ishq ke silsalay tamam
Rah badal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain


________

Meri zindagi ke raaz main ik raaz tum bhi ho
meri bandagi ki Aas main ik Aas tum bhi ho

Tum kia ho mere, kuch ho yan kuch bhi nahi magar
Meri zindagi ke kash main ik kash tum bhi ho

No comments:

Post a Comment