Tuesday, October 23, 2012

Haan Yeah Such Hai Ke Mujhe Tum Se Mohabbat Hai


Haan ! yeah such hai ke mujhe tum se mohabbat hai
Yeah bhi such hai ke mein tumhari chahat hoon
Per meri zindagi mein chahtoon ki kami to nahi
Rishte aur bhi hain sirf tum hi nahi
Apni zaat ke is pehloo se aaj milwaoon tumhien
Mein kia hoon, Kaisi hoon, Zara batlaoon tumhien
Mein apni maa'n ke tarbiyat mein dhala sancha hoon
Apne BABA ki umeedoon se pur ik khaka hoon
Apne bhai ki ghairat hoon janti hoon mein
Mujh se hi hai ghar ki izzat manti hoon mein
To behak jaoon mein yeah kabhi mumkin hi nahi!
Ke dil wo bhi rakhte hain
Sirf HUM TUM hi nahi!

Tuesday, October 16, 2012

Humdam Ke Liye Humdam Se Gay By Ameer Menai


Humdam ke liye humdam se gay, humdam ki qasam humdam na milla
Marham ke liye marham se gay, marham ki qasam marham na milla

By Ameer Menai

Friday, October 12, 2012

Kabhi Jo Chair Gaye Yaad-e-Raftgaa'n Mohsin By Mohsin Naqvi


Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin

Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin

Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin

Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin

Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin

Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin

Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin


By Mohsin Naqvi

Wednesday, October 10, 2012