Tuesday, October 23, 2012

Haan Yeah Such Hai Ke Mujhe Tum Se Mohabbat Hai


Haan ! yeah such hai ke mujhe tum se mohabbat hai
Yeah bhi such hai ke mein tumhari chahat hoon
Per meri zindagi mein chahtoon ki kami to nahi
Rishte aur bhi hain sirf tum hi nahi
Apni zaat ke is pehloo se aaj milwaoon tumhien
Mein kia hoon, Kaisi hoon, Zara batlaoon tumhien
Mein apni maa'n ke tarbiyat mein dhala sancha hoon
Apne BABA ki umeedoon se pur ik khaka hoon
Apne bhai ki ghairat hoon janti hoon mein
Mujh se hi hai ghar ki izzat manti hoon mein
To behak jaoon mein yeah kabhi mumkin hi nahi!
Ke dil wo bhi rakhte hain
Sirf HUM TUM hi nahi!

Tuesday, October 16, 2012

Humdam Ke Liye Humdam Se Gay By Ameer Menai


Humdam ke liye humdam se gay, humdam ki qasam humdam na milla
Marham ke liye marham se gay, marham ki qasam marham na milla

By Ameer Menai

Friday, October 12, 2012

Kabhi Jo Chair Gaye Yaad-e-Raftgaa'n Mohsin By Mohsin Naqvi


Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin

Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin

Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin

Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin

Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin

Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin

Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin


By Mohsin Naqvi

Wednesday, October 10, 2012

Monday, September 24, 2012

Mera Naam Badal Dena


Aik lafz mohabbat hai, use ker ke dekho tum
Barbad na ho jaoo, to mera naam badal dena
Aik lafz muqadar hai, us se lard ke dekho tum
Haar na jaoo to mera naam badal dena
Aik lafz wafa hai, jo duniya mein nahi milti
Kahien se agar mil jaye to, mera naam badal dena
Aik lafz ansoo hai, use dil mein chupa ker dekho tum
Ankhoon se na beh jaye to, mera naam badal dena
Aik lafz judai hai, use seh ker dekho tum
Toot ker na bikher jaoo to, mera naam badal dena

Friday, September 21, 2012

Safar-e-Ishq


"Safar-e-Ishq"

"Maa'n"
Meri ankhoon se.....
Mut pocho....
Karab ke sumandar ka
Bikherna hai kaisa
Bachpan mein jo sekhaya tha
Guriya ko sajana
Rait se gharwanday banana
Sabar ki char-deewari se
Ansoon se pyar ghondna
Maa'n sab janti ho tum
Meri ankhoon se....
Mut pochoo...

Tuesday, September 18, 2012

Friday, September 14, 2012

Saturday, September 8, 2012

Kanwara - Funny Urdu Poetry


Dobte  ko  tinke  ka  sahara  chaye..........
Shadi ke liye bas, Ama'n ka Ishara Chaye

Hazar nuqs nikalti hai larki ke chehre mein
Koi in se pocho! kia sitara chaye .............

Char suitoon se baat nahi banay gi 
Sath mein ik khatara chaye...........

Buhat samjhaya ke larki hai yahi behter
Mujhe bhi to ghunahoon ka kufara chaye

Ama'n kehti hai, Lagaoo kia moul lagatay ho
Aur le jaoo agar larka humara chaye............

Her rate mein milte hain, kahiye kia lijye ga
Dulha, Shadi Shuda, Ya'n Kanwara Chaye?

Payment ker ke kal ko tum bhi keh sako gay
Ab to humien damad, humara sara chaye .....

Tum bhi sun lo larki walo! yeah dasta'n
Phir na kehna humien interview dobara chaye


Ab to rah-ghuzar mein aa ke per gaya hoon
Le chaloo jisko yeah bechara chaye............

Kion dekhaye larki waloon ko itni sharafat "Faisal"
Wo kehte hain ke humien larka thorda awara chaye

Tuesday, September 4, 2012

Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai By Mohsin Naqvi


Yeah Khoob-roo log jinki ankhien
Tumharay ujle badan per chispa'n
Tumharay naqsh-e-qadm ki khushboo mein
Sabt aisay
Bhanwar mein jaisay hina ke pattay
Mein sochta hoon
Ke itni ankhoon ke dairoon mein
Meri Akeeli
Udas ankhoon ki
Hasiyat kia hai?
Meri Wafa ka muqam kia hai?
Meri mohabbat ka naam kia hai?

By Mosin Naqvi

Wednesday, August 29, 2012

Aaj Bhi Sham Udas Rahi By Mohsin Naqvi



Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
Tere naram laboon ki shabnam
Saye se mehroom raha
Aaj bhi pathar hijer ka lamha, Sadiyoon se bekhawab rutoon ki
Ankhoon ka mehfoom raha
Aaj bhi apne wasal ka tara
Rakh urati shokh shafaq ki mazil se ma'doom raha
Aaj bhi shehar mein pagal dil ko
Teri deed ki Aas rahi
Mudat se ghum-sum tanhye, Aaj bhi mere pass rahi
Aaj bhi sham udas rahi

~!~ By Mohsin Naqvi ~!~

Thursday, May 10, 2012

Suno - Urdu Nazam


Suno!
Ab kuch dinoon se haal aisa hai
Koi kitni bhi zilat de
Koi jitni raonut se humien ronday
Bura bilkul nahi lagta
Gilla koi nahi hota
Sakoo'n mehsoos hota
Dua lab se nikalti hai

Monday, January 23, 2012

Tumhien Hum Yaad Kerte Hain




Yeah hum tasleem kerte hain
Tumhien Fursat nahi milti
Humaray waste tumko
Koi sayat nahi milti
Humari soch ke mehwar
Kabhi ik pal to socho tum
Tumhien hum yaad kerte hain
Aur itna yaad kerte hain
Ke khud ko bhool jatay hain


Wednesday, January 4, 2012

Hawa...!



Hawa....!
Tum janti ho sab
Ke mein ne raat ke pichle pehar
chupke se sari dastaan tum ko sunaye thi
Tumhien to yaad hi ho ga
Tabhi...
Jab ashk meri baat ke raste mein hayal the
Tabhi...
Jab lafz mere durd ki shidat se ghayal the
Meri sochien
Jab uski chaap ke peechay gaien thien to
Hawa tum ne hi mera bheegta pallo sukhaya tha
Hawa tum sun rahi thien na ke jab us ne kaha tha
Muntazar rehna mein Aoon ga
Hawa... Tum to gawa ho ke tan se ab talak
in rastoon se
Meri ankhoon ke diye bhujnay nahi paye
Hawa tum to usi ke rastoon se ho ke aye ho
Hawa....!
Wo aa raha tha na?
Hawa....!