Friday, November 18, 2011

Aye Mere Dost - (Nazm)



Aye mere dost
Safar ka kaam hai katna
kat hi jaye ga
Waqt ka kaam hai ghuzrna
ghuzar hi jaye ga
magr rastoon per urti dhool
Mazi per pardnay na dena
apni yaad ke mehwar se
Mujhe nikalne na dena

Aye mere dost
Khwaboon ka dais
banana zaroor
magar haqeeqat ka sath
nibhana zaroor
Kal (anay wala) ke liye
Apna aaj barbad na kerna
Kisi ka dil torde ker
Apna ghar abad na kerna

Aye mere dost
Lakh badlay zamana taiwar
Tum kabhi na badlna
Aaj to mein tumharay sath hoon
Mujhe tum kal bhi yaad rakhna
apni yaad mein kahien
mera bhi makan rakhna
Apne ahad aefa kerna
Apne peeman yaad rakhna

Friday, November 4, 2011

Aye Larki Suno


Aye Larki suno,
Tumhari dilruba ankhien
Jab sharam se jhukti hain
Tumharay hontoon ki hidat se
Tumharay ghaal ki lali
Mujhe sab kuch batati hai
Tumhien kitni mohabbat hai
Tumhien kis ki zaroorat hai
Magar ik ihsaas hota hai
Rishte kitne bhi sache hoon, Jana hi muqadar hai
Ghardi bhar ki mulaqatien, samjho to ghaneemat hai

Thursday, November 3, 2011

Mudtoon se Yahi Aalim


Mudtoon se yahi Aalim na tuwaqa na umeed
Dil pukaray hi chala jata hai janna janna

Hum bhi kia sada the, hum ne bhi samjh rakha tha
Ghum-e-dooran se juda hai ghum-e-Janna janna

Ab ke kuch aisi sajhi mehfal-e-yaaran janna
Ser ba rano hai koi ser be-gireeban janna

Her koi apni hi awaz se kanp uthta hai
Her koi apne hi saye se harasaan janna

Jisko dekho wohi zanjeer paa lagta hai
Shehar ka shehar huwa dakhal-e-zindaan janna

Hum ke roothi hoi rut ko bhi manna laitay the
Hum ne dekha hi na tha mousam-e-hijraan janna

Hosh aya to sabhi khawab the reeza reeza
Jaisay urte hoye awraaq parishaan janna