Wednesday, December 30, 2009

Phir naya saal Aanay ko hai

Phir naya saal Aanay ko hai
Khuda keray ke yeah saal gaye saal ke zakhmoon pe marham rakhay
Khuda keray ke yeah saal nai khushioon ki navid lai
ke beeta saal buhat se durd de gaya
buhat payaron ko buhat apnoon ko sath le gaya

lekin...

wo apnay log jin ke dum se zindagi thi, Muskurahtien Thien
wo yaad nahi aien gay
Kion ke
yaad to unko kertay hain jo bhool Jaien
Aur jo her dharkan main bastay hoon unko kaisay bhulaien

lekin

kahien gaye saal ke malbay talay
zindagi phir muskura rahi hai
bahar phir Aa rahi hai.....

Ab Naiye Saal ki muhlat nahien milne wali

Ab Naiye Saal ki muhlat nahien milne wali
Aa chukay ab to shab-o-roz azaaboon walay

Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban boltay hain
Ab kahan log muhabbat ke nisaboon walay

Zinda rehnay ki tamanah ho to ho hi jatay hain
Fakhtoon ke bhi kirdar uqaboon walay

Na mere zakham khilay hain na tera rang-e-hina
Mousam aye hi nahien ab ke gulaboon walay

Suna hai naya saal Phir Aa raha hai

Khushian bhi hoon gi, Bahrien bhi hoon gi
Mager hum tu guzray December ki sochoon main gum hain
Ke jab tu mere pass thi
Hath tera mere hath main tha
Aur khushian char soo humare sath thien
Mager ab akele tumhaien sochtay hain
Yahee khoof daman se lipta huwa hai
Ke aisa na ho is baras bhi December
Tumharay bina hi kahien beet jaye
December to her saal ata rahay ga
Mager tum na ho gay to kuch bhi na hoga

Suna hai nayaa saal pher aaraha hai