Wednesday, December 30, 2009

Phir naya saal Aanay ko hai

Phir naya saal Aanay ko hai
Khuda keray ke yeah saal gaye saal ke zakhmoon pe marham rakhay
Khuda keray ke yeah saal nai khushioon ki navid lai
ke beeta saal buhat se durd de gaya
buhat payaron ko buhat apnoon ko sath le gaya

lekin...

wo apnay log jin ke dum se zindagi thi, Muskurahtien Thien
wo yaad nahi aien gay
Kion ke
yaad to unko kertay hain jo bhool Jaien
Aur jo her dharkan main bastay hoon unko kaisay bhulaien

lekin

kahien gaye saal ke malbay talay
zindagi phir muskura rahi hai
bahar phir Aa rahi hai.....

Ab Naiye Saal ki muhlat nahien milne wali

Ab Naiye Saal ki muhlat nahien milne wali
Aa chukay ab to shab-o-roz azaaboon walay

Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban boltay hain
Ab kahan log muhabbat ke nisaboon walay

Zinda rehnay ki tamanah ho to ho hi jatay hain
Fakhtoon ke bhi kirdar uqaboon walay

Na mere zakham khilay hain na tera rang-e-hina
Mousam aye hi nahien ab ke gulaboon walay

Suna hai naya saal Phir Aa raha hai

Khushian bhi hoon gi, Bahrien bhi hoon gi
Mager hum tu guzray December ki sochoon main gum hain
Ke jab tu mere pass thi
Hath tera mere hath main tha
Aur khushian char soo humare sath thien
Mager ab akele tumhaien sochtay hain
Yahee khoof daman se lipta huwa hai
Ke aisa na ho is baras bhi December
Tumharay bina hi kahien beet jaye
December to her saal ata rahay ga
Mager tum na ho gay to kuch bhi na hoga

Suna hai nayaa saal pher aaraha hai

Monday, March 9, 2009

Muhabbat kis ko kehtay hain

Muhabbat kis ko kehtay hain
Humien tum ne sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeah bhi tum ne bataya tha
Mager jab hum muhabat ki kisi wadi main khoye thay
Suhanay khawab mairy jagti Aankhoon main soye thay
Humien tanha kiya tum ne koi awaz tuk na dee
Tumhain dhoondha buhat sapnay sajati mairu AankhooN ne
Buhat khush-fehmian palay
Buhat hi door ja niklay
Jahan se lout anay main
Humien ik umer lagni thi
To us dum ik pal socha!
Ke kion na hum kuch door aur ja batkien
Kisi nayee oor ja niklien
Kisi ke sath phir hum bhi
Khail muhabbat ka phir khailien
Kisi ka torde dien dil hum
Kisi ko soze main dhakelien
Mager mushkil pari hum ko
Ke hum pather nahi balkay dharakta dil hi rakhtay hain

Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad

Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad
Ik Diya Jalta Raha Barish Ke Baad

Mairay Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Ro Pari Thandi Hawa Barish Ke Baad

Mairy Tanhaye Ka Daman Thaam Ker
Kuch Udassi Ne Kaha Barish Ke Baad

Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad

Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per
Naam Tera Likh Deya Barish Ke Baad.

Wo Poochti Hai

Wo Mujh se Mairy Udassioon ki Wajha pochti hai
Kitni Pagal hai Raat ke Sanatay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairay Aansoon ki Wajha Pocthi hai
Kitni Pagal hai Barish ke barasnay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairy Pasand pocthi hai
Kitni Pagal hai Khud apnay hi baray main pochti hai

Wo Mujh se Mairy Wafa ki intihaa pochti hai
Kitni Pagal hai Sahil per Khari Samandar ki Gehrai pochti hai

DURD KE PHOOL

Durd ke phool bhi khiltay hain bikher jaatay hain
Zakham kaisay bhi hon kuch roze main bhar jatay hain

Rasta roke khardi hai yeahi uljhan kab se
Koi pochay to kahien kiya ke kidher jatay hain

Zakham kaisay bhi hoon kuch roze main bhar jatay hain
Durd ke phool bhi khiltay hain bikhar jatay hain

Naram aawaz bhali baatien muhazab lehjay
Pehli baarish main hi yeah rung uter jatay hain

Durd ke phool bhi khiltay hain bikher jatay hain
Zakham kaisay bhi hon kuch roze main bhar jatay hain

"MUHABBAT Chorde dee HUM nien"

Abhi jub lout ker phir TUM humaray dur per aye ho
Yeah tum se keh diya kis nien
ke TUM bin reh nahien saktay
ke yeah dukh seh nahien saktay
Chalo yeah maan laitay hain
ke TUM bin HUM buhat roye
kayee ratoon ko na soye
Mager ik baat hai "JANA"
Ke TUM nakam loto gay
Ager TUM jannana chaho
ke aisa kion kiya HUM nien
To sun lo ghor se "JANA"
Purani ik riwayat torde di HUM nien

"MUHABBAT chorde di HUM ne"

"MUHABBAT chorde di HUM ne".

KAHIN DIL CHORD AYE HO ?

Buhat Chup chup Se Rehtay Ho
Na Bantay Ho , Sanwartay Ho

Na Koi baat Kertay Ho
Bhari Mehfil Main Bhi Akser

Humesha Khoye Rehtay Ho
Udassi Aankh Main Le Ker

Her ik Chehray Ko Taktay Ho
Koi jab Yaad Ata Hai

To Thundi Aah Bhartay Ho
To Khul Ker Kion Nahien Kehtay

Kisi Se Payar kertay ho
Kahien Dil Chorde Aye Ho ??????????

My Favorite Poem

Kaha tha na...
is tarha sotay hoye chorde ke mut jana
mujhe be-shak jaga dena
bata dena

ke tumhain rasta badlna hai
mairy hud se nikalna hai

Tumhain kis baat ka dur tha ??????????
kia main janay nahien daita?
kahien pe qaid ker laita??????

aray pagal muhabbat ki tabiyat main zaberdasti nahien hoti
jisay rasta badlna hai usay rasta badlanay se
jisay hud se nikalna ho usay hud se nikalnay se

na koi rok paya hai na koi rok paye ga

tumhaien kis baat ka dur thaaa???????

mujhe jaga daitay


bus yeah yaad rakhna ae hum dum
ab in jagti Aankhoon main
khuwab tumharay hi bastay hain
in Aankhoon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke moom chalaktay hain


bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in Aankoon ki roshni ke bujhnay tuk
main intizar ke deep jalaon ga
mairay ghar ke rastay pe
teray qadmoon ki ahat ko sun ke hi jaon ga

apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke mernay tuk
tujhe dil main basoonga

bus tera kehlaoon ga

ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yeahi ho gi

"is duniya main na sahi , agli duniya main to mairy ho gi"

Monday, February 9, 2009

Jo mairy talab mairy Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jo khayal thay na ke yas thay wohi log mujh se bicher gaye
Jo Muhabatoon ki asas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain manta hi nahi yeah Dil ' Wohi log mairay hain humsafer
Mujhay her tarha se jo raas thay' Wohi log mujh se bicher gaye

Mujhay lamha bhar ki Rafaktoon' Ke sarab aur sataien gaye
Mairy umer bhar ki jo Payas thay wohi log mujh se bicher gaye

Yeah khayal saray hain Aarzi' Yeah gulab hain saray kaghzee
Gul Aarzoo ki jo baas thay wohi log mujh se bicher gaye

Jinhain ker saka na kabool main ' wo shareek-e-safar howe
Jo mairy talab' mairy Aas thay wohi log mujh se bicher gaye

Mairy dharkanoon ke kareeb thay' Mairy Chah thay' Maira Khawab thay
Wo jo Roze-O-Shab mairay paas thay wohi log mujh se bicher gaye