Sunday, December 28, 2008

ik Shair(28)

Cheez kia hai shoq-e-safer na poochye

Qurbat Aapki Rafaqat Aapki

Adhi soi , jagi ankhien

Adhi soi , jagi ankhien
khawab se hai8n bojhal ankhien

ager raat gehri hai to kia
raat se gehri veeran ankhien

apnay hum moun se kuch na bolien gay
bayan kerien gi maira haal ankhien

Aisay ! kaisay ? dekh rahien hain
apnoon ki yeah ajnabi ankhien

hum ko ab tuk yaad hai teri
waqat-e-rukhsat wo barhum ankhien

kon poochta hai ab hamara haal
kon dekhay yeah num ankhien

khulay dareechay ab bhi dekhien
kaisy hain yeah pagal ankhien

tere intazar main dekh jana
band hoi tere "RAAZ" ki ankhien

Neelay libas main

neelay libas main janne wo kia lag rahi thi
Chand ne kaha apsara lag rahi thi

badal ne kaha ghata lag rahi thi
Dhanak ne kaha qos-e-qaza lag rahi thi

Sitaroon ne kaha roshni lag rahi thi
pholoon ne kaha kali lag rahi thi

Falak ne kaha Asman lag rahi thi
raat ne kaha kehkashan lag rahi thi

sagir ne kaha bhanwar lag rahi thi
suraj ne kaha saher lag rahi thi

shabnam ne kaha ghulab lag rahi thi
chandni ne kaha mahtab lag rahi thi

hawa ne kaha ehsas lag rahi thi
sham ne kaha khush libas lag rahi thi

subha ne kaha bad-e-saba lag rahi thi
neelay libas main janne wo kia lag rahi thi....

tasawar hi tasawar main jab sochta hoon
main jaa ke wahan puhanchta hoon

hathoon pe hina bhi sajaye hoi hai
lagta hai koi pari ayi hoi hai

wo sitaroon main mahtab lag rahi hai
pholoon main jaisay ghulab lag rahi hai

wo sab se juda aur haseen lag rahi hai
khayaloon main mairay mah-jabeen lag rahi hai

janne kab tasawar ke angan se lout ata hoon
Aur neend ki wadi main puhanch jata hoon

ik Shair(21)

duniya main "Qateel" us sa munafiq nahi koi
Jo zulim to sehta hai baghawat nahi kerta

ik Shair(20)

Aaj se pehlay koi cheez nahi mangi us ne "Raaz"
Aaj mangi to umer bhar ki judai mang li

Durd ka mousam bhala tanha ghuzarien kab tulk

Durd ka mousam bhala tanha ghuzarien kab tulk
Aa chukay hotay abhi tuk , hum pukarien kab tulk

Kab tuk put jharoon ke patoon per ghuman apna rahay
lout ker aien gi wo roothi baharien kub tulk

kab tulk tanhaye main bethay tujhe socha kerien
hijer ki uljhi hoi zulfain sanwaraien kab tulk

jannay walay sab piranday lout ker anay lagay
hijer ki be-durd ghardian hum ghuzarien kub tulk

tashnagi yoon deeda-o-dil ki nahi mitati "Raaz"
naqsh hum uske tasawar ke ubharien kub tulk

ik Shair(13)

Suna hai "Raaz" Naam ke lardkay ko
Kisi ki yaad ne ghumshuda ker diya

Saturday, December 27, 2008

ik Shair(1)

Hai payar unko hum se itna to yakeen hai hyumien
Wo inkar bhi kertay hain to ankhien sath nahien detien

Friday, November 28, 2008

Khoya Khoya To kahan rehta hai

ik ajeeb sa haal hai dil ka tere anay ke bad

Main likhta raha

ik Shair(27)

ik arsay tuk jo mairy nazer main raha chehra
Aaj uski aik jhalak dekhnay ki dil tardpta hai

Mager

Zindagi ik khawab hai


Mager....

Mujhe khawab acchay nahi lagtay

Apnay liye to bas Aik muhabbat hi kafi hai

Apnay liye to bas Aik muhabbat hi kafi hai
hum koi bhi ghalty ho doobara nahi kertay

Jab tuk wo salamat hai adawat ka maza hai
dushman ko kabhi jaan se mara nahi kertay

Qayamat ka saman hota hai dilber

Qayamat ka saman hota hai dilber
na aya ker to yoon parday se bahir

nihan jaltay hoye patangoon main bhi to hai
hai to hi shama ke sholay ke ander

to hai shabnam main, bulbul ki nawa main
tera hi aks hai pholoon ke rukh per

Chamak apni zamanay ko dekha de
to sagir, to sadaf , to hai goher

hamien hasrat hain jin main doobnay ki
teri ankhien hai wo gehra sumander

tere chandan badan ki khusboon se
mairy ratien hain pur kaif muater

tere dum se hain joban per baharien
hai to "Raaz" khusioon ka pe-ghmber

Kabhi jo waqat milay

Kabhi jo waqat milay
Peechay murde ker dekhna
Aik shakash jise tum
Saloon pehlay chorde aye thi
Wo aaj bhi kharda hai
isi tarah tere intazar main
Aisay jaisay tum ne
us se kaha ho
Ruko do minute
Main abhi aye

ik Shair(12)

Un jheel C gehri ankhoon Se itna to "Raaz" Kehna
Pani se ubharnay main kuch dair to lagti hai

Thursday, November 27, 2008

muhabbat jhoot hai...!

Chaloo chordo!
Muhabbat jhoot hai ...!
ahed-e-wafa ik shughal hai bekar logoon ka
talab sokhay hoye patoon ka be-ronaq jazeera hai
halsh deemak zada awraq per
boseeda stroon ka Zakheera hai

Chaloo chordo!
ke ab tuk main andeeroon ki
dhamak main sans ki zarboon per
chahat ki bina rukh ker safer kerty rahien hoon
mujhe ehsas hi kab tha
ke tum bhi mousmoon ke sath
apnay pairhun ke rung badlo gay

Chaloo chordo!
maira hona na hona ik barabr hai
tum apnay haal-o-hud ko aiynoon main phir nikhrnay do
tum apni ankh ki basti main phir se ik naya mousam utrnay do
mairay khawaboon ko murnay do

chaloo chordo!
muhabbat jhoot hai...!

Tuesday, October 28, 2008

Zara Khayal Kerna

Aisa koi kaam ker

Waqat ko Apnay anmol banaoo

Dareecha-e-khayal jab bhi khulay

Dareecha-e-khayal jab bhi khulay
teri yaad tera tasawar bunnay

khmoshi ke ghanghor sanatay main
mairy smayat teri nida sunay

wasal-e-umeed main doob ker yeah dil
lamas ke jazeeray se chahat ke moti chunnay

mairy ghazal main tera husan-e-bayan jana
jaisay ankh ki jheel main chahat ka rung ghulay

ik Shair(25)

mairy tanhye ko bolo ke lout aye warna
uski yadien to mar dalien gi mujhe

ik Shair(22)

Mairay hontoon pe dekhaway ka tabsum hai lekin
in ankhoon main udassi ke chragh jaltay hain

ik Shair(19)

De ker umer bhar ki judai wo poochtay hain "Raaz"
bata teri ankhoon main yeah nami kaisy

ik Shair(14)

hum bhi dushman to nahi hain apnay
Ghaire ko tujh se muhabbat hi sahi!

ik Shair(11)

turk-e-taluq ka mujhko bhi ghum nahi
per dil yeah chahta hai Aghaaz wo kerien

Monday, October 27, 2008

Ujray hoye logoon se

اُجڑے ہُوے لوگوں سے گریزاں نہ ہُوا کر
حالات کی قبروں کے یہ کتبے بھی پڑھا کر

ہر وقت کا ہنسنا تجھے برباد نہ کردے
تنہائی کے لمحوں میں کبھی رو بھی لیا کر

اے دل تجھے دشمن کی بھی پہچان کہاں ہے
تو حلقہء یاراں میں بھی محتاط رہا کر

کیا جانئے کیوں تیز ہوا سوچ میں گم ہے
خوابیدہ پرندوں کو درختوں سے اڑا کر

اس شخص کے تم سے بھی مراسم ہیں تو ہونگے
وہ جھوٹ نہ بولے گا مرے سامنے آکر

پہلا سا کہاں اب مری رفتار کا عالم
اے گردش دوراں ذرا تھم تھم کے چلا کر

اک روح کی فریاد نے چونکا دیا مجھکو
تو اب تو مجھے جسم کے زنداں سے رہا کر

اب ٹھوکریں کھائے گا کہاں اے غم احباب
میں نے تو کہا تھا کہ مرے دل میں رہا کر

اس شب کے مقدر میں سحر ہی نہیں محسن
دیکھا ہے کئی بار چراغوں کو بُجھا کر

Sunday, September 28, 2008

Kash

Ke Shaher yeah pather ka ....!

Jab teri yadoon ka dil main diya jalta hai
To doobtay suraj main chehra tera dikhta hai

ik hum hi dhar ba dhar phirtay hain warna
Ashyana to panchioon ko bhi roze milta hai

ik khawab jo dekha tha teri muhabbat ka
ab ban ke sheesha wo ankh main chubta hai

Door tulk udassi phail jaty hai sham dhalay
sunsan rahoon pe janne kahan dil bhatakta hai

chul uth ke chorde chalay yeah shaher hum "Raaz"
ke sheher yeah pather ka yahan sirf paisa chalta hai

phir khawab ankhoon main sajnay ko aye

phir khawab ankhoon main sajnay ko aye
phir jugnu teri rah main jalnne ko aye

bister-e-murg pe hi sahi "RAAZ"
chaloo wo hum se milnay to aye

ik Shair(24)

Tum ne mujhe chorde diya tanha rah main
tanhioon ne aa ke sahara diya mujhe

Attitude

ik Shair(18)

Khushi ban ker wo mairy ankh main yoon jhilmilanay hai lagi
jis tarah jheel ke pani main dhoop chamakti hai "raaz"

Shama jalti rahi main piglta raha

Shama jalti rahi main piglta raha
Zindagi ka safer yoon hi chalta raha

kuch is tarah apna banaya mujh ko
her dost mujh ko dushman lagta raha

hosh aya to dil ke tukray dekhay
phir raat bhar kamra siskioon se ghonjta raha

wo to so gay raat ko chain se "Raaz"
koi unki yaad main tardpta raha, marta raha

Tumhari yaad main hum jasan-e-ghum manien bhi

Tumhari yaad main hum jasan-e-ghum manien bhi
Kisi tarah mager tum ko yaad aien bhi

Chalak hi partay khud hi gulab ankhoon ke
Wo pass aien to yeah dastan sunaien bhi

her aik lamha yahi be-kali C hai dil main
ke unko yaad kerien , unko bhool jaien bhi

Sunday, September 21, 2008

Buhat Udaas Hoon Main

Mairay Qareeb to aao ke buhat Udaas hoon Main
Bus aaj Toot ker chaho ke buhat Udaas hoon Main

Kisi bhi Jhotay Dilasay se Dil ko behlao
Koi Kahani sunao ke buhat Udaas hoon Main

Andheri Raat hai kuch bhi Nazer nahien ata
Sitaray Tore ker lao ke buhat Udaas hoon Main

Suna hai Tairay Nager main Khushi bhi milti hai
Mujhe Yaqeen dilao ke buhat Udaas hoon Main

Yeah Sham yoon hi guzer jaye gi dabay paoon
Dosti ka Geet sunao ke buhat Udaas hoon Main

Thursday, August 28, 2008

Janne kion?????

Aaj usi rah pe hoon main kharda
jahan hoye thay hum tum juda
jahan manzlien alag hoien thien
jahan yeah ankh buhat roi thi
lehrien tere paoon choomtien thien
jahan hawaien tumhain suna kerti thien
jahan khatam hoti thi hud payar ki
jahan shuroo hoi thi raat hijer ki
haan! usi rah pe hoon main kharda
jahan kiye thay tum ne waday
jahan kati thien wasal ki ratien
jahan ki thien buhat C batien
haan! main usi rah pe kharda hoon
per tum jo nahi ho un rahoon pe
to phir kion hoon main kharda
kion ??? janne kion ???????

Kal jo barsat main bheega buhat

Kal jo barsat main bheega buhat
wo dil tujhe yaad ker ke roya buhat

rahi mulaqat adhoori chandni se
her dafa baat main rahi tashnagi buhat

kaisay batien kaisay jeetay hain tere bin
ke tere bad sona dil ka nager buhat

hum us bewafa per dil haray hain
jiski nigha se dil tootay buhat

wo jisko dekha sada muskuratay hoye
janne kion waqat-e-rukhsat wo roya buhat

aik wo jin ko tarasha khuda ne sung-e-mur mur se
aik hum jin ka tha daman dagh dar buhat

koi ho "RAAZ" jis se ghalay lag ker roye
ke in veeran ankhoon main hain tufan buhat

ik Shair(23)

bas ik naam ka tara sada chamkta rahay
ghila nahi jo muqader main mahtab na ho

Aa bhi jaoo ke bahar Aa jaye

ik Shair(17)

Humaray naam ko likh likh ker jo mitata tha
humaray dil main samana use pasand na tha

Bataoo kaisa lagta hai

Bataoo kaisa lagta hai
Jab main nahi hota aas pass
Jab koi nahi chalta Aas pass
Jab dil main ik durd uthta hai
Bataoo kaisa lagta hai
jo wada kia sath nibhanay ka
phir khud hi hum ne torde diya
jab wo wada yaad ata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab ghuzrti ho un rahoon se
phir dekhti ho Wo flats jahan hum millay thay
phir bharta qadam ruk jata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab mahfil main jati ho
logoon main bethti ho
jab ziker maira sunti ho
phir chehra ansoon se bheeg jata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab main nahi hota Aas pass
bataoo kaisa lagta hai

AAS

ajnabi sheher hai
Ajnabi log hain
Phir bhi main chul raha hoon
Is Aas main
Ke
Koi to apna ho ga
Koi to payara ho ga

Thursday, August 21, 2008

Phir rotay Rehna

Yeah kiya ke her dum kisi ki minatien kerna
Kiya is hi ko kehtay hain Muhabbatien kerna

Jo apni Qismet main hai mile ga wohi
Kis baat pe hai RAB se Shikyaitien kerna

Yeah pagalpun nahien to aur kiya hai phir
Zameen ke ho ker asman se baghawtien kerna

Buhat ker chuka hai logo, payar yeah dil
Ab koi sikhaye is ko bhi nufratien kerna

Pehlay Yaad kerna use phir rotay rehna
Janay kab choray ga Dil,yeah herkatien kerna

Monday, July 28, 2008

ik Shair(26)

Mujhe jeenay ki tum dua na do
mujhe zindagi se dur lagta hai

Wo jo mairy chahtoon ka sawal tha

Wo jo mairy chahtoon ka sawal tha
wo hi mairy muhabbat ka zawal tha

waqat-e-rukhsat pur num ankhoon se
uska yoon muskurana bhi kamal tha

chup gaya chand us raat badal main
dekho judai ka chand ko bhi malal tha

main uske khayaloon main khoya raha "RAAZ"
jiske khayaloon main kisi aur ka khayal tha

Dastan-E-Shab-E-Mahtab

Tera Sath

Kahien se tera sath le aaon
Wasal ki chand raat le Aaon
beth jaoon kisi dorahay per
mang ker tera hath le Aaon
Kitny sadioon ke bad boloon main
lub pe ik teri hi baat le Aaon
Apni ankhoon ki band ghalioon se
Ansoon ki barat le aaon
itny pooja keroon ke main ik din
Apni zaat main teri zaat le aaon

ik Shair(15)

Aaj phir se mazi ki yadoon main kho gaya hoon main
Poocha jo mujhe se kisi ne muhabbat ka safer kaisa tha

Main aur mairy tanhye

Waqat-e-rukhsat bhi unhain mairy yaad na ayi
Na hum se hath milaya, na hum se nazer milaye

Poochtay hain dost ke yeah rog kaisa hai
na main samjha saka, na unhain samjh ayi

hairat hai ke main zinda hoon yeah sunnay ke bad
Qasad ne jab hamien teri mout ki khaber sunaye

"Raaz" yeah tera raaz hai ise raaz-e-dil bana ke rakhoon
kia ho gaya ager wo tujhe de gaya umer bhar ki judai

poocha jo chand ne ke kon hai tere sath
Dheeray se main ne kaha, main aur mairy tanhye

Monday, July 14, 2008

Use Rokti Bhi to kis liye?

wo Jo khawab tha wo Bikher Gaya
wo Jo Sheher-e-Dil tha wo Ujer Gaya

Kbhi Muasamoon ki nazer lagi
kbhi Wehmoon nien Dura Diya

Humien Zindgi ki kitab Se
Jis nien Chaha Mita Diya

wo Chalte Chalte Bicher Gaya
Hum Ankh tuk na Utha Sakay

Na Hi De Sakay Koi Sada use
Use Rokti Bhi to kis liye

wo nahien tha Mairay Wastay
wo kisi aur ka tha So Bicher Gaya

Wo ker ke wady muker gaya
Haan Shehr-e-Dil Ujer Gaya...

Saturday, June 28, 2008

Khawaboon ke humsafer

Ae mairay khawaboon ke humsafer
main bhi hoon jaan banda basher

tujh se ho gi mulaqat kabhi
yan yadoon main ho gi zindagi baser

hamien to yoon hi jeetay jee mar gaye
teri ik ada, teri ik nazer

Jaan se zaida tujh ko payar kiya
tujhe kia pata, tujhe kia khaber?

Zindagi bhi kitny ajeeb hai "Raaz"
Abla paa hain aur hai lamba safer

ik Shair(16)

Mairy ghazal main tera husan-e-bayan jana
Jaisay Ankh ki jheel main chahat ka rung ghulay

ik Shair(10)

yeah Asman main sayahi bhkair dee kis ne
hamien tha shoq buhat is main rung bharnay ka

Saturday, June 14, 2008

Main bana hoon sirf tairay liye

Main bana hoon sirf tairay liye
mujhe aur kuch to khaber nahien

Main to jisam hoon mairy jaan tu
tairay bin to mairy guzer nahien

Mairy dharkanoon pe likhi hai jo
Tu hai wohi payar ki dastaan

Kahaan jaoon ga tujhe chor ker
Taira dil to hai maira ashiyaan

Sari umer yoon milaingay hum
Hamain is jahan ka koi dur nahien

Main bana hoon sirf tairay liye
Mujhe aur kuch to khaber nahien

Mairy sansoon main hai mehak tairy
Mairy khuwahishoon pe tu chaa gaya

Tairay haathoon ki lakeeroon main
Maira wajood sama gaya

Mujhe tujh se jo juda keray
Yeah to judai main bhi ab aser nahien

Main bana hoon sirf tairay liye,
Mujhe aur kuch to khaber nahien

Tuesday, May 27, 2008

ik Shair(7)

chehray bhujay bhujay se hain lagta nahien hai faraq
temar-dar kon hai bemar kon

Dilber se kehna

Dilber se kehna


Ae!!! hawa sirf dilber se itna kehna
ke hum ne tujhe sochnay, aur khojnay
aur pannay ki sab khawahishoon ko
udassi ki deewaroon main chun diya hai
tujhe payar se dekhnay wali besarat
mehroom ker dien hain hum ne
tujhe pannay ki arzoo ko fana ker diya hai
teri deed ki machalti thi jo khuwahish
use hum ne dil se paray ker diya hai
Qadam jo tere Rastay se zara
baraber bhi na hatatay thay
ab sanam teri rahoon per pardnay nahien hain
tere sheher main ana jana raha
na teri yaad main shub bitana raha
wo haqeeqat rahi na fasana raha
chand jisko tera istara
samjhtay thay hum
us ko dekhay hoye arsa huwa
Ae hawa!!! sirf itna sa dilber se kehna

ik Shair(8)

jurm-e-tuheen-muhabbat ki saza de mujhko
dil-e-gustakh ko mehroom-e-muhabbat ker de

ik Shair(6)

chaloo main aaj khud ko khanjer ke hawalay kerta hoon
Mairy jaan jaye to jaye , tumhara maan reh jaye

Wednesday, May 14, 2008

Khamosh fiza thi kahien saya bhi nahien tha

Khamosh fiza thi kahien saya bhi nahien tha

is shahar main hum sa koi tanha bhi nahien tha

Kis jurm main cheeni gayi mujh se mairy hunsi

Hum ne to kisi ka dil dukhaya bhi nahien tha

Hum jis k hawalay se howay shahar main badnaam

us shaks ko to hum ne kabhi rulaya bhi nahien tha

Sunday, April 27, 2008

ik Shair(5)

chaloo main aaj khud ko khanjer ke hawalay kerta hoon
Mairy jaan jaye to jaye , tumhara maan reh jaye

Ager mairay bas main hota

Apna use banana ager mairay bas main hota
lout ata lout ana ager mairay bas main hota

Ankhoon main unki jata surat badal badal ke
khawaboon main ana jana ager mairay bas main hota

chehray ko muskurahat se main sajye rakhta
Ae yaar muskarana ager mairay bas main hota

duniya se khatam ker ke rukh deta rung-o-ghum ko
bazm-e-tarab sajana ager mairay bas main hota

Qadmoon main unke laa ker taray baikhair deta
taroon ko torde lana ager mairay bas main hota

lata na naam bhi main us bewafa ka lub per
usko bhulana ager mairay bas main hota

Wo dil hi kia tere milnay ki jo dua na keray

Wo dil hi kia tere milnay ki jo dua na keray
main tujh ko bhool ke zinda rahoon khuda na keray

rahay ga sath tera payar zindagi ban ker
yeah aur baat hai mairy zindagi wafa na keray

yeah theek hai nahien merta koi judai main
khuda kisi se kisi ko mager juda na keray

suna hai us ko muhabbat duien detien hain
jo dil pe choot to khaye mager gilla na keray

zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
Qateel jaan se jaye mager iltjah na keray

Monday, April 14, 2008

MuhabbtoiN ki qabar

MaiN nein
MuhabbtoiN ki qabar
Behtay pani per banai
Ke kal koi
Gardab-e-saat
Mujhe us ka
Majawar na bana de

Friday, March 14, 2008

Bahar Ayee

Bahar Ayee
to jaisay yuk bar lot aye hain phir adum se
wo khawab saray shabab saray
jo tairay hontoon pe mur mittay thay
jo mit ke her bar phir jiye thay

nikher gay hain gulab saray
jo tairy yadoon se mushkboo hain

jo tairay Ashak ka laho hain
bahar ayee

ubhal paray hain azab saray

malal-e-ehbay-e-dostan bhi
tumhary aghosh-e-mehvashan bhi

ghubaar-e-khatir ke baab saray

tairay humaray sawal saray jawab saray

bahar ayee

to khul gay hain
naye siray se hisab saray

naye siray se hisab saray

bahar ayee

bahar ayee

Wednesday, February 27, 2008

Thursday, February 14, 2008

Tumana le ke ulfet ki mairay angan main wo aya

Tumana le ke ulfet ki mairay angan main wo aya

Muhabbat rog hai dil ka use yeah main nien samjhaya

Kaha us nien muhabbat ker shareeq-e-ghum bana mujh ko

Keroon ga main zamanay ki roshni se aashna tum ko

Huwa mujboor main yaro kiya iqrar ulfet ka

Laga dee jaan ki baazi samaj ker khail qismat ka

Huwi maloom phir us ki HAQEEQAT yeah zamanay se

Use TASKEEN milti hai kisi ka dil Dukhanay Se

Monday, January 14, 2008

Ager tum jawani main Nazrien Milatay

Ager tum jawani main nazrien milatay

Kabhi sath peetay kabhi sath khatay

BuRhapay main ab kiya kerooN ga tumhara

Buhat dair ki Mehrbaan atay atay