Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Jahan main hain Ebrat ke her soo namoonay
Mager tujh ko aandha kia rang-o-boo ne
Kabhi ghor se bhi yeah dekha hai tu ne
Jo mamoor thay wo mehal ab hain soonay
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Milay khak main ahel-e-shaan kaisay kaisay
Makeen ho gaye La maakan kaisay kaisay
Huway naam-war be-Nishan kaisay kaisay
Zameen kha gaye noujawan kaisay kaisay
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Zamen ke huway log pe-wand kiya kiya
Malook-o-huzoor-o-khuda-wand kiya kiya
Dekhaye ga to chund roze kiya kiya
Aajal ne pecharay tan-o-mand kiya kiya
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Ajal ne na Kisra hi choora na Dara
Isi se Sikander Sa fatheh bhi hara
Her ik chorde ke kiya kiya hasrat sidhara
Para reh gaya sab yahien that sara
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Tujhay pehlay bachpaan ne barsoon khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnoo banaya
Burhapay ne phir aa ke kiya kiya sataya
Aajal tera ker de gi bilkul safaya
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Yahi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Wo zeenat nerali wo fashion nirala
Jiya kerta hai kiya younhi marnay wala
Tujhay husn-e-zahir ne dhookay main dhala
Wo hai aish-o-eshrat ka koi mehal bhi
Jahan tuk na khari ho ajal bhi
Bas ab is jahalat se tu nikal bhi
yeah tarz-e-maaishat ab apna badal bhi
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Yeah duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kiya cheez marghoob tujh ko
Nahi aqal itni bhi majzoob tujh ko
Samajh laina ab chahiye khoob tujh ko
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Burhaapay se paa ker qayam-e-qaza bhi
Na chonka na cheekha na sambhla zara bhi
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhi
Junoon chorde ker apnay hosh main aa bhi
Jab is bazam se chal diye dost akser
aur uthtay chalay jaa rahay hain barabar
Her waqat peesh-e-nazar hai yeah manzer
Yahan per tera dil behalta hai kion ker
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai
Jahan main kahien shor-e-matam bapa hai
Kahien fiqer-o-faqa se aah-o-baka hai
Kahien shikwa joro makroo dagha hai
Gharz her taraf se yahi bas sada hai
Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai