Sunday, December 9, 2007

Dairay main rehna bhi zindagi hai,

Dairay main rehna bhi zindagi hai,
to hadh se guzarna bhi zindagi hai,
Kushiyoan ko bitana bhi zindagi hai
to yoon ghamoon se larna bhi zindagi hai
yoon to rehti hai hothon pe muskurahat
per shaiyad chupkay se durd sehna bhi zindagi hai

Friday, November 9, 2007

Jagha Jee Laganay Ki Duniya Nahi Hai

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Jahan main hain Ebrat ke her soo namoonay
Mager tujh ko aandha kia rang-o-boo ne

Kabhi ghor se bhi yeah dekha hai tu ne
Jo mamoor thay wo mehal ab hain soonay

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Milay khak main ahel-e-shaan kaisay kaisay
Makeen ho gaye La maakan kaisay kaisay
Huway naam-war be-Nishan kaisay kaisay
Zameen kha gaye noujawan kaisay kaisay

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Zamen ke huway log pe-wand kiya kiya
Malook-o-huzoor-o-khuda-wand kiya kiya
Dekhaye ga to chund roze kiya kiya
Aajal ne pecharay tan-o-mand kiya kiya

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Ajal ne na Kisra hi choora na Dara
Isi se Sikander Sa fatheh bhi hara
Her ik chorde ke kiya kiya hasrat sidhara
Para reh gaya sab yahien that sara

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Tujhay pehlay bachpaan ne barsoon khilaya
Jawani ne phir tujh ko majnoo banaya
Burhapay ne phir aa ke kiya kiya sataya
Aajal tera ker de gi bilkul safaya


Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Yahi tujh ko dhun hai rahoon sab se bala
Wo zeenat nerali wo fashion nirala
Jiya kerta hai kiya younhi marnay wala
Tujhay husn-e-zahir ne dhookay main dhala

Wo hai aish-o-eshrat ka koi mehal bhi
Jahan tuk na khari ho ajal bhi
Bas ab is jahalat se tu nikal bhi
yeah tarz-e-maaishat ab apna badal bhi

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Yeah duniya-e-fani hai mehboob tujh ko
Huwi wah kiya cheez marghoob tujh ko
Nahi aqal itni bhi majzoob tujh ko
Samajh laina ab chahiye khoob tujh ko

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Burhaapay se paa ker qayam-e-qaza bhi
Na chonka na cheekha na sambhla zara bhi
Koi teri ghaflat ki hai inteha bhi
Junoon chorde ker apnay hosh main aa bhi

Jab is bazam se chal diye dost akser
aur uthtay chalay jaa rahay hain barabar
Her waqat peesh-e-nazar hai yeah manzer
Yahan per tera dil behalta hai kion ker

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Jahan main kahien shor-e-matam bapa hai
Kahien fiqer-o-faqa se aah-o-baka hai
Kahien shikwa joro makroo dagha hai
Gharz her taraf se yahi bas sada hai

Jagha jee Laganay ki duniya nahi hai
Yeah Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Tuesday, October 9, 2007

Basti Dil Waloon ki

ik Basti Thi DIL Waloon Ki
Jahan Chand Aur Suraj Raha Kertay Thay
Sara Din Woh Aangan Main Hunsa Kehla Kertay Thay
ik Dosray Pe DIL-O-JAN Se Mertay Thay
Phir ik Din Yoon Huwa
Wo Dono Apas Main Rooth Gaye
Jo Sapnay Dekhay Thay Wo Toot Gaye
Ab Chand Wahan Tub Ata Hai Jub Suraj Chala Jata Hai
Jub Suraj Ata Hai Tu Chand So Jata Hai
Badal yeah Kehta Hai
Yeah Suraj Uljha Uljha Rehta Hai
Chand Ke Paas To Sitaray Hain
Yeah Suraj Tanha Rehta Hai

Sunday, September 9, 2007

Kisi ne pocha maa'n kiya hai kon hai?

Kisi ne pocha maa'n kiya hai kon hai?

SUMANDER ne kaha: ik aisy cheez hai, jo apni ulad ke saray raz apnay seenay main chupa laiti hai.

BADILOON ne kaha: ik danak hai, jis main her ik rang numaya hotha hai.

SHAIR ne kaha: ik aisy gazal hai, jo sunnay walay ke seenay main uter jati hai.

MALI ne kaha: gulshan ka dilkash phol hai jis main khobsurti hoti hai.

ULAD ne kaha: mamta ki anmol dastan hai,,jo her dil per qurban hai.

MUSANIF ne kaha: wo hasti hai,jis ki tareef main duniya main alfaz nahi milthay.

JANAT ne kaha: wo hasti hai, jis k qadamon talay main hoon.

KHUDA ne kaha: mairy taraf se, qeemti aur nayab tuhfa hai.

DUA ne kaha: wo shaksiat hai, jo her waqat apni ulad k liya kushkabri ki dua mangti hai.

USTAD ne kaha: ik aisy hasti hai, jis se duniya main koi ristha aziz nahi.

Thursday, August 9, 2007

Kon kehta hai muhabbat ki zuban hoti hai

Kon kehta hai muhabbat ki zuban hoti hai
Yeah haqeeqat to nigahoon se bayan hoti hai

Wo na aaye to satati hai khalish see dil ko
Wo jo aaye to khalish aur jawan hoti hai

Rooh ko shad keray dil ko jo purnoor keray
Her nazaaray main yeah tanveer kahan hoti hai

Sabt-e-selaabay muhabbat ko kahan tuk rokay
Dil main jo baat ho aankho se ayaan hoti hai

Zindagi ik sulgati C chita hai `Dosto'
Shola banti hai na yeah bhuj ke dhuwaan hoti hai

Kon kehta hai muhabbat ki zuban hoti hai
Yeah haqeeqat to nigahoon se bayan hoti hai...!!

Monday, July 9, 2007

~~~Mairay durd ki dawa~~~

Mairay durd ki jo dawa keray koi aisa shakhs huwa keray
Wo jo be-pana udaas ho mager hijer ka na ghila keray

Mairy chahtain mairy qurbatain jise yaad aien qadam qadam
Wo sab se chup ke labas-e-shab main lipat ker aah-o-baka keray

Bharay uska gham to Qarar kho de wo mairay gham ke khiyaal se
Uthain haath apnay liye to phir bi mairay liye hi dua keray

Bara shor hai mairay sheher main kisi ajnabi ke nazool ka
Wo mairy hi jaan na ho'kahin koi kuch to jaa ker pata keray

Saturday, June 9, 2007

Aankh se aankh milata hai koi

Aankh se aankh milata hai koi
Dil ko Chura liye jata hai koi

Vaa-e-hairat ki bhari mehafil main
Mujh ko tanha nazer ata hai koi

Chahiye Khud pe yaqeen-e-kaamil
Hosla kis ka bharhata hai koi

Sab karishmaat-e-tasawur hai "RAAZ"
varna ata hai na jata hai koi... !!

Wednesday, May 9, 2007

jayeye aap se nahi bolti

Chooriyan haath main thien
aur haathoon main uska haath bhi tha

sham-e-tanhaye bhi thi
rung aur noor ki barsaat bhi thi

mousamoon ka junoon urooj per tha
dharkanoon per bhi ikhtiyar na tha

uski be-haal larazti howi jawani thi
uski madhosh nigahoon main talab payar ka tha

kanptay haathoon se uske shugufta haathoon main
Chooriyan mujh se na pehnayi gaien

haan mager haath ghayal ho hi gaye
usne nazerien jhuka ker itna hi kaha
jayeye aap se nahi bolti
app se itna bhi nahi hota..!!

Monday, April 9, 2007

Tumhain maloom hai

Tumhain maloom hai
Guzri shab main ne kiya kia?????
Aoo main tumhain guzri shab ka haal sunaoon
Main ne guzri shab jag ker ik kam kiya
Main ne apni aur tumhari zindagi main
Anay wali tammam kushion aur ghamoon ko ik jagha ikhtah kia
Phir main ne tumhari aur apni apni zindagi main anay wali
kushion aur ghamoon ko Aleeda Aleeda kia
Phir main ne ik kam kiya
Apnay hisay ki kushion ko tumharay hisay ke ghamoon se badal diya
Dekh mairy jaan guzri shab main ne yeah kia

Friday, March 9, 2007

Mairay dost zindagi bhar mujhe yoon hi payar kerna

Mairay dost zindagi bhar mujhe yoon hi payar kerna
Main tujhe dagha na doongi maira aitbaar kerna.

Abhi mairy kismatoon ka hai sitara gardhishon main
Mairay dost kuch dinoon tuk maira intizar kerna

Ab torde do yeah sheeshay mairay kaam ke nahi hain
Mairay pass jab nahi tum bhala kiya shingar kerna

Yeahi Arzoo hai ab to mairay baad zindagi main
Ke tu phir kabhi kisi se na nigah char kerna

Friday, February 9, 2007

TUMHARAY LIYE...

Main ne
Tumharay liye
Kayee rangon ke gulab
Sanjoon ke rakhay hain
Unko indradhanush ke rangon se
Bandha bhi hai
Aur
Sitaroon ko taank ker
Lapeta bhi hai


Main ne
Shermati howi
Usha ke raktaab gaalon ki
Chutkee le kar
Tumhaari maang ke liye sindoor
Apni unglee mein lagaa
Bhee rakha hai


Aaj maine apni
Palkon ko band kar rakha hai
Kyunki
Usme kutchh sapne hain
Jo tumhare bahut apne hain
Jaise main
Aur mere dil me basaa
Tumhara pyaar...

Tuesday, January 9, 2007

Kon Kehta Hai Muhabbat Mer Nahi Sakti

Kon Kehta Hai Muhabbat Mer Nahi Sakti
Her Din Her Roze Muhabbat Merti Hai
Sirf Dil Ki Ankhoon Se Dekho
Lashoon Ka Dair Dikhaye De ga

Na Kahiye Muhabbat Mer Nahi Sakti
Poochiye Un Diloon Se
Sunniye Un Diloon Ki Aahat Ko
Mun Ki Aankhon Se Dekhiye Us Dil Ko

Laash Na Dikhaye Dee Muhabbat Ki to Kehna